Manaan Singh   (Manaan✍️)
620 Followers · 238 Following

read more
Joined 27 August 2019


read more
Joined 27 August 2019
2 FEB 2023 AT 14:57

koi surat nazr nh aati.
Koi seerat nazar nh aati ,
har din acha hai janab ,
Jb bhul bessri yaadein nh satati....
hai to bahut kuch kehne ko yaara,
bas khud se khud ki takalleef ab batayi nh jaati..
mast hai ab hm apni duniya mei,
abse kisi se umeed lgayi nh jati...

-


16 MAY 2022 AT 11:12

Tumne haath diya,
Hmne zindagi bhar ka saath diya
Ab
Tum apni pehli mohabaat de do
Hm apni bachi saasein tumhare naam likh de

-


15 MAY 2022 AT 21:05

Paras ke patthar ko paarsaa samjh baitha
Mukhautta to tab utra, jab dil maila nikla.

-


15 MAY 2022 AT 19:30

Unse ishq kArta hai dil,
Phir kyun chupke chupke,
Unke liye dhadkta hai dil.
Macha shor apne pyaar ka is kadar,
Dauda chala aaye wo tujhse mil.

-


15 MAY 2022 AT 13:28

Yun to hum har kisi ka ehsaan nahi rakhte.
Bin bulaaye gar aa jaye koi,
To uska aitbaar bhi nahi karte...

Parinde ko phad phadaate dekha hai.
Uske salamati ke liye bhujh jaye,
Aisa kaam diya-baati harbaar nahi karte...

Phir kyun ek tarfa pyaar ka sajda hum kare.
Jab pata hai laut aana unka muskil hai,
Phir unki raah mei palkein bichaane ka khwaab,
pura hum nahi karte....

-


15 MAY 2022 AT 11:43

Kaash!
Ap mere hote
Nazron se dur hi sahi
Par dil ke Kareeb hote...

Aa jati jitni bhi duriyan
Aitbaar barkaar rehta
Khuda se bhi jiyaada ishq
tumse baar baar har baar hota

-


14 MAY 2022 AT 23:54

Rimjhim rimjhim barasaat mei
Cham cham ki awaz hui
Palat ke dekha jab,
aankhe meri chaar hui
Lafz unke nabz meri badhi
Badli unko bhaa gayi,
hmari baarish mei eid hui

-


14 MAY 2022 AT 23:40

Maa kehne ko ek shab hai,
Asal mei puri duniya isme samayi hai.

Kehne ko sab chanik hai jeevn m,
Maa ke moh mei jeevan ki sachai hai.

Yun to sab badal gaye, ya badal jate hai.
Sache man ka bhav to bas maa hi dikhlayi hai.

Na kuch maangti hai aur naa hi kuch chahti hai
Apni roti ka niwala hme khila kar,
khud ki bhook ko santusht karati hai,
Par hmein khali pet nahi sulaati hai.

Duniya mei rishton ki koi kami nahi,
Unme se eklauta.....
Maa ka darzaa hai jo bhagwaan se kam nahi.

-


14 MAY 2022 AT 23:33

Jis baat ka dar tha,
Aj unhone keh hi diya.
Jo pakad lete the ,
Haath andheron mei.
Aaj wahin par jaakar chor diya.

-


12 AUG 2021 AT 10:01

Life does not want that
you should be the best,
but wants, that your
tries should be
the best.

-


Fetching Manaan Singh Quotes