Mahesh Togi   (Mahesh Togi)
16 Followers · 6 Following

Newbie to poetry, Brahmapurian
Joined 1 June 2020


Newbie to poetry, Brahmapurian
Joined 1 June 2020
22 NOV 2024 AT 18:14

Daastaan

Aaj apni raah bana raha hun,
Shayad reh na jaun main, wahi purana,
Asafal ho jaaun jo apne koshishon mein agar,
Toh anjaana ban, tum mujhe gumnaami mein dafnana,
Aur jo ban jaaun main kahin, apne sapnon se bada,
Toh beshaq meri shohrat le Jaana,
Par logon ko meri daastaan sunana.

-


25 OCT 2024 AT 19:35

Shikaayatein

Shikaayatein badi aa rahi hain ki, tu badal sa gaya hai,
Baatein teri badal chuki hain, woh purana tu ab nahi raha hai,
Kahin ghuroor toh nahi aya tujhme, jo tu zindagi ke paaydaan chadne laga hai,
Dekh rahe hain kaafi dinon se tujhe, ghamand lagta hai sar pe chada hai.

Arey kya karun, zindagi ab, pehle si nahi rahi,
Rishton ka mol lagne laga hai, jo anmol thi, ab nahi rahi,
Kamana padta hai badi mehnat karke, fir faraq nahi padta jee ya marr raha hun,
Rishton mein bane rehne ke liye, paai paai jama kar rha hun,
Ab shikayatein iske bawjood bhi aati hain, fir iska main kuch zyada kar nahi sakta,
Rishton mein jaan dalne ke khatir, ab isse zyada marr nahi sakta,
Thod Chuka hun bandishein, ab apni khatir thoda sambhal sa gaya hun,
Shayad isiliye log kehne lage hain,
Main badal sa gaya hun

-


25 OCT 2024 AT 2:29

Mukhouta

Ghamon ko mere, hamesha apne hothon pe hi daba leta hun,

Kyunki dost mere kaii hai, unhone gham apne aaj fir se sunana hai.

Aksar haskar main un bheed se nikal jata hun, Kai ekaant mein,

Gumnaami mein, mere dukhon ko bhi toh thikane lagana hai.

Apne chehre pe haseen ka mukhouta sadiyon se pehen rakha hai, apno ke liye,

Ab iski rangat thodi feeki padne lagi hai, syahi se uspe firse ek hasta chehra banana hai.

-


25 OCT 2024 AT 1:25

Seedhi Baatein (**conditions apply)

Woh kehta tha ki main baatein seedhi karta hun,
Isiliye Zara kadwi lagengi, auron si meethi nahin,

Humne unse unke hi lehje se pesh aaya toh,
Woh doori banake rakhne Lage, aur ab baatein hoti nahin.

-


23 OCT 2024 AT 20:22

Aansun

Woh haal puch lenge aur ek kone ho jayenge,
Kya chal raha hai teri zindagi mein, yeh sochta kaun hai,
Bas maze lene ki aadat ban chuki hai duniya ko,
Arey asal mein aansun tumhare ponchta kaun hai.

-


23 JUL 2024 AT 12:53

Waqt Lagta hai

Waqt lagta hai,
Tere paas aane mein.
Waqt lagta hai,
Tujhe dekh muskurane mein,
Jo tum andekha kar bagal se bhi guzro na,
Waqt lagta hai, tumhe naam se bulane mein.

Baatein toh Kai hain mann mein,
Waqt lagta hai use tumhare ankhon tak pahunchane mein,
Jo tum paas hokar bhi na dekho na,
Waqt lagta hai dil ke dard ko bhulane mein,

Dekh tumhe khush ho jata hun,
Waqt lagta hai us Khushi ko apne chehre par laane mein,
Sharmila hun, ghabrata hun, Kai baar marke fir Zinda ho jata hun,
Koi bhi baat tumko batane mein.

Halka sa chuu lo tum mujhe,
Maano more nachne se lagte hain, mere zamane mein,
Jo tum haath pakadke, mujhse do tuk baat karlo,
Fir waqt lagta hai is haseen sapne se baahar aane mein

Shayad tumse main kabhi, keh na paunga,
Ki kis hadd tak tum dilko bhane lagi ho,
Par chalo, yeh bhi ek haseen vaakya hai, jo zindagi bhar yaad rahega
Kyunki waqt lagega mujhe himmat jutane mein.

-


23 JUL 2024 AT 10:59

Vidambna

Un lambi deewaron mein,
Kaiii sapne base hain,

Aur sapno ko poora karte,
Kai haath anjaane aur paraaye,

Par vidambna si hai dekho kaisi,
Un deewaron se sate un juggiyon ki,

Jisme rehte toh wahi haath hain,
Jisne khudh ke sapne kabhi nahi sajaaye.

-


15 JUL 2024 AT 21:15

Khali Ghar

Main kadr nhi karta tha, tera hamesha saath rehne ka,

Baatein teri ajeeb si lagti thi, choot gayi thi aadat choti choti baatein sehne ka,

Tu chod gaya jab meri zindagi ko, toh jaane yeh dil kyun ab dukhta hai,

Ab Jake kahin ehsaas hua, ki, Khaali Ghar badaa Khali sa lagta hai.

-


27 APR 2024 AT 4:50

Jhurriyan

Hasrat thi ki main, tujhe,
kaaii haseen waadiyon mein ghumaunga,
Kaabil banunga jab, tujhe,
Khushiyon ki sair karaunga,
Par na Jane kaise Umar meri,
mere kabiliyat se pehle hi guzar gyi,
Aur tere bhi haathon mein,
jhurriyan si bhar gayi,
Ab Jake pata chala ki waqt waaqai bada keemti hoti hai,

Par wada raha mera, ki,

Agle Janam hum fir mile,
toh main teri ankahi shiqayaton pe gaur farmaunga,
Aur yakeen maanna meri jaan,
tere liye acha waqt teri JHURRIYON se pehle le aaunga.

-


14 FEB 2023 AT 8:04

Saathi

Saath ajnabi ka,
Haath liye ek Saathi ka,
Leke chal pada tha,
Maano sab jaanta tha,
Par kaise batata sabko,
Bas kuch dinon se hi pehchanta tha,
Kuch pal hi mile the,
Night shift mein chai coffee pe pair sang chale the,
Fir Kuch second, minutein bante gaye,
Dekhte dekhte tabdeel hue, fir ghante bante gaye,
Ghante dar ghante kuch dhaage judte gaye,
Kabhi kabaar Milne Wale, ab kabhi kabhi Milne lage,
Doston ki aad mein, aankhein maanon khilne lage,
Nazdeekiyan badhne lagi, toh samajh aaya rishta aur badhega,
Yeh jo pyar ki lehre uth rhi, woh samandar ka roop dharega,
Fir woh ajnabi, se dost, se rishta aage badha,
Kaafi shor hua, par girte padte atoot hokar sambhalne laga,
Mauka shaadi ka, maano barbaadi mere dar par ho,
Par koi fikar nhi, jab khud fikar apne sar par ho,
Bharosa na tha, ki jisko chaha ab uske sath chalne laga,
Laga, kaafi Kam samay mein woh mujhpe raaj karne laga,😁
Bada maza aata hai ab, sath uske, zindagi ke unch neech mein,
Kuch door tak le aaye zindagi ko, sath kheench khinchke,
Ab safar toh kaafi lambi baaki hai,
Par fikar kya mujhe, befikar sath mera saathi hai,
Dekhte Hain ab kaisa hoga aage ka manzar,
Kaat dalenge saale ko agar zyada kiya chu chapad.

-


Fetching Mahesh Togi Quotes