Hisaab zindagi se karne lagta hun tou uss ki wou aek yaad bohot satati hai
Har dam labon pe wafa ka naam lete huwe wou kitne bewafa hogaye hai-
Aaa tumhain dikhaon aek pehlu ye bhi tou hai kismat ka
Ungliyan gawa hai haath uthe na thae ke taqdeer sanwar gaye
-
Duniya ko bhi na dikha kabhi mere dil ka ye haal
Wah sanam kya khoob chali tere ishq ki ye chaal
-
Yahan aaj hawayain bhi kuch bebas si lag rahi hai
Kya ye kaafila teri yaad ka guzra hai meri gali se-
Badhi mehfil saji thi dil mein bas yahi aek umeed bachi thi
Kal raat tera na aana chhin gaya mujhse ye nayi zindagi bhi-
Mausam k yun badalne se mera bhi haal badal jata hai
Teri haqeeqat yaad aati hai dil ko bhi dard bohot hota hai
-
Ajnabi samaj kar sahi chalo ho he jaye ab saamna
Mujhse ye raaste mere mehboob roz tera haal poochte hai-
Agar unhai shikayatein chod k kabhi hum pe ulfat bhi aajati
Dil ki iss bayjan basti mein chand lamha khushiyan bhi bas jati-
Kuch yun zindagi ki uljhano mein chupi kahin manzil hai
Jaise veeran aek behar mein rehta koi moti hai .
-
Hairaan hota hun zindagi tere inn dilkash rangu ki ada se
Kabhi aisa bhi koi rang dikha jo mere wajood jaisa ho
-