Chotil mann Aur behte ghaav,
Kaanpte haath Aur shithil se paanv,
Dariya kaise paar karen,
मेरी Toofanon se ladti naav
Garje badal,
Barse badal,
ढुलमुल paalon ko cheerti pawan,
Khuda se ranjish koi nahi,
Bss asmanjass me joojhta ye mann-
Aaj se meri kuchh khwaishen ... read more
Dekho सम्पूर्ण azaadi pagal sa kar sakti hai,
Aur kayi syaanon se chheen sakti hai ek pagal ki azaadi,
To kya matlab saare bandhak puri tarah syaane hai,
Matlab sabhi tabhi tak syaane jab tak na mili unhe azaadi,
Fir syanapan to pinjra hua,
Aur pagalpan hua azaadi,
Azaadi ki qeemat kya hai, sara darr Aur sara Moh,
Par Raho sabhi tabhi tak bandhak jab na chaaho azaadi
-
अलैदा se khwaabon ko jebon me bharkar panchhi sa ban ke udjana sahi,
Chulbuli si aadaton ko beparwahi ke lifafe me zamane ke aage dikhana sahi,
Apne khayalon ko sankhshipt me ukerna,
Jawabon ko sateekta ke khaancho me gherna,
चन्द shabdon ki boodon se mann ko bhigakar ke auron ko gehrayi dena sahi-
Ke pyaar mohobbat ishq nhi, Tum to sachi ibaadat ho,
Tum sukh ho Chen ho Tum he to dil ki Rahat ho,
Aur Suno ab Hum tum kya hain,
Arrey hum tum jese chaand chandni,
Jaise Panchhi Aur fizayen,
Jaise Prakrati Aur baharen,
Jese Sab kuchh Aur Khalayen,
Arrey hum tum to ek Wada hain,
Jese Suraj ka dharti se,
Jese nadi ka dariya se,
Mujhme tum ho
Tum me mai hun
Bss itna he kehna hai
-
Tum Aur mai ek khwaab purana,
Aur zamana ek haqikat,
Sach to bataye sari duniya,
Jhooth ko chahna meri kudrat,
Sach ko dekhun jhoot me reh kar,
Sach he bolun jhooth odh kar,
Jhooth ka dariya,
Jhooth ki dhara,
Jhoote hum tum,
Jhoot humara,
Jo paani ko geela karde,
Jo khud Sach ki baarish,
Kaun bata wo
Kaun bata wo,
Mai kehta hun,
So he khuda hai-
Jabki do kuchh hain he nahi,
Kya galti kya maafi hai,
Prem adhoora kyu na ho,
Prem me hona Kaafi hai
Prem bss kisi ka sath nahi,
Ek muqammal kraanti hai,
Satta se jeeto ya haaro,
Bss bhaav bhi hona Kaafi hai
Mere mai ko mai chhodun,
Ya mai mujhko chhod chale,
Ghuljaun boond sa sagar me,
Bss khayaal bhi hona Kaafi hai
-
Ek jaanlewa bimari duniya bhar me fel rahi hai,
Mere paas ki padhi likhi janta bewajah idhar udhar tehel rahi hai,
Kyu fir rahe ho haat me maut liye,
Bht himmat hai to Suno darr jao,
Wo gali pakdo Aur Ghar jao,
Suna hai shareer bhi nahi deta prashasan,
Deta hai to bss
Khabar,
Bss khabar ki wo chale gaye,
Ab shareer lene ki koshish bhi mat karna,
Kyuki wo ab rishtedaar nahi tumhare,
Ek khatra hain sabhi ke lie,
Na daah sanskaar,
Na aakhri surat naseeb hogi,
Na ro paoge seene par sar rakh kar,
Na chhoo paoge aakhri bar per unke,
Bss ek siski,
aansu,
pachhtawa,
Aur sabse zyada bebasi,
To band karlo किवाड़ gharke,
Na jao na jane do kisiko bahar ghar ke
Bach jaenge jab padosi
To kar lenge behes car parking par-
Jab bhi bolun jhoot he bolun,
Sach kehta Hun,
Jhoota hun,
Jab puchhoge kya chahta hai,
jhoote sach mai keh dunga,
Baaten jhooti khwaab bhi jhoote,
Jhoote kisse gadh dunga,
Chanda jhoota Suraj jhoota,
taare saare Jhoote hain,
Raat bhi jhooti din bhi jhoota,
Mausam sare jhoote hain,
Teri meri doori jhooti,
Nazdeeki bhi jhooti hai,
Padhi thi aankhen tumne jo wo,
Aankhen bhi wo jhooti hain,
Jo me kehdun sabko jhoota, pagal pagal karte ho,
Jo pagal सच्चा hai to pagal ho jana theek he hai,
Kya Kehte ho jhoot ko chhoda to shayad marr jaunga,
Jo सच्चा marr jaye to shayad marr jana theek he hai.
-
कलेजे में लगी उस आँच को लपट अब बन जाने दो,
रगों में दौड़ते इस लहू को आँखों में चढ़ जाने दो,
लहू लहू ये लहू नहीं ये ज्वाला अब बन जाएगा, ज्वालामुखियों से फट कर नर से नरसिंह अब बन जाने दो,
कोई चाँद सितारा नहीं हो तुम, तुम तो जलते सूरज हो अब इस अनन्त आग को खुदमे समा जाने दो,
ख़ुद को ख़ाली बूँद न समझो तुम तो पारावार हो,
अब ऋषि अगसत्या सी प्यास हो जाओ और खुदको पूरा समुद्र पी जाने दो
-
Behekte kadmon ko sadhne ko na kaho,
Sadhe kadmon ko behekne ki salaah na do,
Mai mai he rehta Hun tum tum he reh jao,
Na tum he Jao ab dur kahin na Mujhe he tum paas bulao,
Din din he rehta hai Raat Raat he rehti hai,
Mil jaate hain fir bhi shaamon ko,
Humari bhi shaam ayegi,
Milenge शांत si shaamon me-