Kumar Vimal  
27 Followers · 4 Following

Joined 8 August 2018


Joined 8 August 2018
24 FEB 2022 AT 22:19


Koshishen kar rahe phir bhi dur hain
Jatan jitna bhi kare phir bhi majboor hain
Kyu yeh sitam hai kyu aisi badkismati
Rah me chalkar bhi manzil se fitoori

-


23 FEB 2022 AT 23:37


Rubaru hone ki guzarish aaj bhi rakhte hain
Dabaye gaye chahaton ki udan aaj bhi karte hain
Pal beet gaya par un lamhon ko sanjoya karte hain
Aaj se zyada ateet main aksar jeeya karte hain

-


22 FEB 2022 AT 23:32


Kitni bagawat hai is dil me ki bata na sake
Dar badar yeh firata rahe kahi chain na de
Nazuk samajhte the isse yehi gehri chhot de
Khayalon me uljha kar hume rogi kar de

-


21 FEB 2022 AT 23:26

Kabhi sochte hain
ki koi na hota toh kya chain hota
yaha sab hokar bhi yuh betaab se hain
jane kis aahat ki tadap hain kis manzil ki firaaq
na thamey na mitey nichode yeh har raat

-


20 FEB 2022 AT 23:41


Kitne hi aarzoove ho dil me malaal rahta hai
Jane kaisi sanjidagi hai jise dhundhta rahta hai
Bahalta nahi bahlata hai yeh
Zor kitna bhi karo machalta hi rahta yeh

-


19 FEB 2022 AT 23:50


Na inkaar na ikraar na aetbaar hai
Ranjishon se bhi nahi malaal hai
Jaan rahe ki yeh nayi saugat hai
Juda hona bhi ek shuruvaat hai

-


18 FEB 2022 AT 21:59


Kaisa samay aa gaya ki fursat me bhi fursat dhundh rahe
Zameen pe rahkar bhi aasman me kadam chal rahe
Khyaalon me kitne hi sultanat haasil kar rahe
Jab khwaishon ki taraf badhe aasare ki talaash kar rahe— % &

-


17 FEB 2022 AT 22:14


Koi baaton se bahla jata hai
Koi adaaon se bahla jata hai
Koi muskan se bahla jata hai
Koi nigahon se bahla jata hai
Koi khwaab me bahla jata hai
Koi apni shaksiyat se bahla jata hai
Hum khud ko jo bahlana chahe
Yeh dil hume hi uljhaye jata hai
— % &

-


16 FEB 2022 AT 23:45


Kisi safar par chale jaha manzil ki fikr na ho
Raste yuhi judte rahe nazaron ki kami na ho
Bairagi ho jaye kisi ki zarurat na ho
Khushbash rahe kisi ghum koi qurbat na ho— % &

-


15 FEB 2022 AT 22:07


Kuch guzarte shamo ko phir se jeene ki chahat hai
Un beete lamhon ko mehkhane ki guzarish hai
Woh baatein woh yaari woh saath dohrane ki lalach hai
Un apno ko phir se apnane ki khwaish hai— % &

-


Fetching Kumar Vimal Quotes