Tumhare janam din ke khatir mere dar par kuch phool chalkar aaye
Muskurake ajab shor machake kehrahe kya unke liye guldasta banayen,
Kaisi rahegi halki baarish ki boondun ki jhilmil unke sehen ke upar
Yeh kehne mujhse ghar ki chath par ghane baadal hain chaaye,
Sooraj ne din ko roshni badhayi chaand ne khidki par awaaz lagayi
Dono karahe iltija ki hum bhi unke liye koi tohfa apni nisbat se sajayen,
Titliyan, banwrey, jugnu tumhare sheher aane se inhain kaise roklun
Uff yeh Sitaare bhi ab tumhare liye jaanam taaj tayaar karke laaye ,
Mere alfaaz khushi ke bayis taraz se taradud se bekhabar hogaye hain
Ab Ghalib kehne lage chalo ek Ghazal banaye unka janam din manaye,
tumhare youm-e-khaas par mehboob qudrat ne mojudgi bharpoor jatayi
Yeh sarad dilkash hawa bhi tumhare liye sureele geet gungunaye,
Bahar ki tamanna hain, Tumhari mehfil main chupkar aane ki
Tera noor churaye, Zara ous barsaye bahaar is aarzoo main mauj udaaye,
Tum haseen,tumhara sheher haseen saath tumhare har peher haseen
Rabb sada tum par rehmat, barkat, aafiyat,hidayat aur mohabbat barsaye
-
Sanam aap ka muskurana dil par dastak ke numma hain
Yeh humain laakh Mubarak aapke Janam din ka samma hain,
Kya dua doon dhadkaney aapke he naam ka wirid Karti hain
Aap ki palkhun ke jhapakne se shab-o-roz kaayam yahan hain,
Betaab kanwal aankhun ki justuju main Banu faqt main Banu
Aap ki ek nazar ek ishaare ke tabeh mera saara Jahan hain,
Hum saada nafas zamane ke saamne bharam aapka rakhte hain
Hum aapki milkiyat hum main tabhi to guroor tabhi to Anna hain,
Khanakti awaaz beparwah alfaaz ka Raaz humse rahe aashnaa
Titliyan seekhti adayen aapse parwaane pata pooche aap kahan hain,
Nadaan har gulistaan ke rang-o-bu aapse mansoob hochuke hain
Aap ka har rukh bemisaal mukhtasar aap kaabil-e-sana hain.-
Haaye Kya karen afsoos is Dil ke marjaane ka
Humko waqt nahin milta maatam manane ka,
Bheed is qadar hogayi muamlaat ki hayaat main
Ab koi lamha nahin milta cheekhne chilaane ka,
Khudko cheenkar khuda se kiya supurd humne unke
Jinka hausla khoobtar hain humko mitaane ka,
zehen nasheen hota hain parinde ko apni daal ka pata
Aur hum hain ki raasta khochuke apne thikaane ka,
Kya dard kahun, kiye aitbaar se sharminda hoon
Kya mazaak bana Ishq main sar jhukaane ka,
Sunne kon humne Khud sabko apne khilaf kardiya
Ab raah koi nahin siwa yeh ashq chupaane ka,
Nadaan rehne de ishq ka taqadus woh kya jaane
Jinki khatir yeh khel hain faqt fursat main nibhane ka
-
Faqt isliye zeher ki
sheshiyan chupa Raha hoon
Kahin zindagi ko khudkushi
ka raasta na mile,
-
Ab yun madhoshi main guzarahi hain zindagi nadaan
Koi haal pooche to hum bus muskura dete hain
-
Aisi haseen nigahun main asmaan hona chahiye,
Ravan dawaan sitarun ka karwaan hona chahiye,
Suna hain tere mathey pe saji hain jahan ki takdeer
Phir meri kismat ki lakeer ka bhi nishaan hona chahiye,
Sunna hain tere bharam se kahin bastiyan abaad hain
Teri zulfon main mera bhi ek shabistan hona chahiye,
Sunna hain tere bol se murda qalb khilkhila jaate hain
To tere darbar par mukarar ek darbaan hona chahiye,
Sunna hain abaad kahin gulistan teri muskan se nadaan
mere ghar bhi tere hathon saja guldaan hona chahiye,
-
Ek ajeeb kasak se guzar rahe hain
Hum tanha tanha phir rahe hain,
Na bharam humko kissi saak ka
Har anjaan darpe theher rahe hain,
Chodke mehfil binkahe us mehboob ki
Dekho patharun ke aage gir rahe hain,
Lagjaye lau kissi se to pakadke daman
Uska jeena hum mushkil kar rahe hain,
Shimaar karen khudka zindun main kya
Ghoont ghoont saans saans mar rahe hain,
Kya yahin shodayi hone ka Makta hain
Jisse chahen ussi se bichad rahe hain,
Zara sa kam baand lete umeed nadaan
Ab bus yaadun se kagaz bhar rahe hain
-