Prem Prem sab kahe
Iska sahi arth na jane koi ....

Radhekrishna sa amar rahe
Aisa prem raha Kahan koi....

Jo janmo ka dard sahe
Ab aisa prem kahan koi ....

Ab toh pal mein hi vishwas dahe
Ab mohan radhika sa sachha preet
Na koi....

Tabhi toh mere radheshyam sa na koi
Jo saath na rehkar bhi har lamha saath
Hoi.....

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

- रुह-ए-अल्फाज🩷🩷