Kamal Prajapati   (kamal)
404 Followers · 62 Following

Bas ek khwaab, or baaki sab kuch keemat....
Joined 2 October 2017


Bas ek khwaab, or baaki sab kuch keemat....
Joined 2 October 2017
17 AUG 2021 AT 0:08

Anjan tu bhi nahi
Anjan mein bhi nahi
Nadaan tu nahi, Nadaan mein nahi
Tu dur hai mujhse ,Dur tujhse mein nahi
Khamosh tu khadi hai, Khamosh mein nahi..

Aankho me basi teri hi jhalak hai
Kaano me gunjti tu har waqt hai
Duniya ki khabar rakhta hun
Bas khud se bekhabar rahaa hun..

Anjan tu bhi nahi
Anjan mein bhi nahi
Begunah tu nahi
Begunah mein nahi
Par sajaa hoi mukrar sirf mujhe
Tujhe nahi
Par khush hun is baat se
Ki tu khush hai..
Bas tu khush rahe
Yahi dua hai meri...

-


16 AUG 2021 AT 21:31

Kon kahta hai ki mohabbat do tarfa zaruri hai
Ek tarfe mohabbat me bda sukoon milta hai

-


14 AUG 2021 AT 10:43

Kayi rungo se bani hai zindagi
Kuch rung tere the to kuch mere..

-


13 AUG 2021 AT 22:38

Aaj tera bol bala hai
Kal koi or aajaega
Sambhal kar chal aie musafir
Manzil tak jaate jaate kahi tu bhatak jaaega
Itna naa itra yun
Safar me tujhsa koi or bhi mil jaega..

-


12 AUG 2021 AT 22:24

Dur hai nadiya, par ye pyas nahi samjhati
Dur hai tu, par ye yaad nahi bujhati
Tez hai hawaein par ye saans nahi chalti...

-


11 AUG 2021 AT 0:33

Bol do is raat ko ki kal fir aae
Abhi kuch or khise baaki hai..

-


9 AUG 2021 AT 23:35

Ek baat to ye bhi thi
Ki kuch ansuna rah gya...

-


9 AUG 2021 AT 23:10

Subah se tere intzaar me baitha hun
Naa jaane kambqat ye raat kab aaegi
Jo tut gya tha sapna
Aaj shayd puri ho jaaegi....

-


8 AUG 2021 AT 22:04

muqamal hai jahaan saara
Bas insan adhura rah gya
Dhundta firta hai sath kisi ka
Jo sath adhura rah gya

Lamhe rukte nahi thamte nahi
Andheri raato me dil dhundla ho gya
Barish hui palko se
Takiya gila ho gya
Dil halka to hua
Magar fir suraj dhal gya...

muqamal hai jahaan saara
Bas insan adhura rah gya

-


6 AUG 2021 AT 0:30

Aakhir kab tak khilono ka shaukh rkhoge
Kabhi to bade banoge...

-


Fetching Kamal Prajapati Quotes