Suno,
Kal tum dabe paawn aana
Mujhe wha naa dekh tum naa ghabrana
Mein jaarhi hun kahi dur, ye baat tum apne dil ko naa bataana
Ye naadan dil lagaa tha mujhse is qadar,
Kahi ye tut naa jaae kambqt
Suno
Tum rona matt
Mein bas khush hun ye hai sach
Tum ye dil kahi or le jana
Meri yaado me naa thahar jaana
Bas ek sabak sikha lenaa
Ab is qdar dil kisi se naa lgana. 😉
-
fark to bas itna raha,
Teri manzil tay thi,
Meri baaki thi,
Mere sapne bahut bade the
Tere sapne chand pal me simte pade the... 😉-
Tum tamaam khushiya dhundte rahna or khush rahna...
Tumhe khush dekh hum bhi khush rahte hai..-
Jab koi apna bichhadta hai to tadap kar rah jaata hai, kya sahi kya galt sab bhool jaata hai, kaise bhi paa le use, bas isliye kuch bhi bol jataa hai..
-
Wo chaadar maili to nahi thi
Jo tune hataa hi daale
Han kuch chheete zarur the aansuon ke
Par tune kya use bhi daag samjh daale..
-
Jo kashtiyo par sawar se jo zameen ok aakne lage
Jo zameen par the wo samandar ki gahrai ko maapne lage.
Rahna naa paae wo khud ke hi kabhi
Or dusro ko slaah mashwra baatne lage..
-
Ishq ke to anek tarike hai
Ishq se to har din rangile hai
Kya hua tera badan nahi hai jo sath
Dil se to hum ab bhi tere hai
Waqt ki nazaqt to dekh
Bichdne ke baad wo dhimi dhimi maut maarta raha
Or hum aaj bhi khushi se jee rahe
Bichdne ka gumm hai hi kise
Hum to aaj bhi yaadon me tujhse mil rahe
Ishq ke to anek tarike hai
Ishq se to har din rangile hai
Kya hua tera badan nahi hai jo sath
-