29 DEC 2018 AT 0:36

Sakht-ae-mard khudko kehte ho,
Rakht-ae-dard jaise sehte ho.
Mardangi ka apne dikhawa ho karte,
Gumaan tum apna banaye ho rakhte.
Nazariya kharab hai toh
nazar mein nahi koi farak hai,
Sab badiya toh kya hua
teri soch mein kalank hai.
Namard hai woh jo ghar ya
bahar humesha hai dogla,
Samaan na kare aurat ka
woh insaan hi hai khokla.

- Kabira