aye dil laut aa,
waha na jaa jaha koi tera nahi hai
aur jana waha bhi nahi
jaha tera wajood nhi hai.
raste honge hazar, kaha jana pata nahi hai
par aye dil tham jaa
waha na jaa jaha tere hone ki khushi nahi hai,
jaha tere hasne or tere rone ki fikar nahi hai
aye dil laut aa
waha na jaa jaha thokar mile aziz rishton me,
jaha tukdo ke bhi hisse ho kisso kisso me,
aur waha bhi na jaa jaha tu uska nahi hai,
jo tere jine ki wajah nahi hai,
ja nahi waha jaha tu khush rehta nahi hai.
aye dil laut aa
ye jahaan koi apna nahi hai,
ye sach hai koi sapna nahi hai.
aye dil taras kha
tu manushya hai koi devta nahi hai.
aye dil laut aa,
waha na ja jaha koi tera nahi hai.
-