5 OCT 2024 AT 23:03

Kaash hum kabhi mile hi na hote,
Vo sari humari baatein kabhi hui hi na hoti.
Anjaan rehte hum hamesha ek dusre ke liye,
Kash ye dil kabhi tumse lagaya hi na hota.
Nahi reh sakti bina tumhare,
Tumhe kabhi bataya hi na hota...
Kaash zindagi mein tumhari
Main kabhi aayi hi na hoti....

- Harshita