Akhri baar mile the akhri mohabaat se,
Aur uss ke bad humne ek dusre ko paraya kardiya,
Jitna bacha tha waqt akhri mulakat mein,
Humne wo waqt bhi waqt puchne mein zaya kardiya,-
Agar manzil mangti hai meri tanhai aur fakat dukh,
Toh fir mai musafir hi theek hu,
Insaan se nafrat hi agar khuda ka kufr hai,
Toh fir mai kafir hi theek hu....-
Rishton se aazad hona baki hai,
Kasmo se aazad hona baki,
Wo jo mai mere andar rehta hu,
Uss apne aap se aazad hona baki hai,
Wo jo muj mein jo thodi si tu baaki hai,
Uss "tu" se aazad hona baaki hai,
Jazbaato se aazad hona baki hai,
Haalato se aazad hona baki hai,
Jin dosto ke sath aazadi jee hai,
Unn dosto se aazad hona baki hai....-
Laila laila karta majnu,
Aawara sa firta majnu,
Aise jese phool baraste ho,
Pathar wese sehta majnu.....-
Suraj andhre se darr gaya,
Samundar ko pyaas ne maar dala,
Mai na-umeed, khud-khushi karne wala tha,
Aur fir jeene ki aas ne maar dala,
Zindagi khubsoorat hoti hai, suna tha,
Mujhko zinda rehne ke aehsaas ne maar dala....-
Mai kirdar hu kahani jee raha hu,
Badi abjeeb si jawaani jee raha hu,
Pyaas lagi toh apno ne zeher ka gilaas diya,
Mai uss ko samaj kar pani, pee raha hu.....-
Mai kirdar hu kahani jee raha hu,
Badi abjeeb si jawaani jee raha hu,
Pyaas lagi toh apno ne zeher ka gilaas diya,
Mai uss ko samaj kar pani, pee raha hu.....-
Lekar khushiya gham dejata hai,
Maine insaan aisa bhi dekha hai,
Mai dach batao toh na paisa kaam aata na dost,
Meri jaan maine dost bhi dekha hai paisa bhi dekha hai.....-
Mai mere hone se darrta hu,
Mai khud ko khone se darrta hu,
Darrta hu ke fir kahi bura khawab na dekh lu,
Mai iss wajah se bhi sone se darrta hu,
Pehale log aanson pochne aaye the toh badle mein khushiya legaye the,
Iss liye mai logo ke beech rone se darrta hu.....-
Mai mere hone se darrta hu,
Mai khud ko khone se darrta hu,
Darrta hu ke fir kahi bura khawab na dekh lu,
Mai iss wajah se bhi sone se darrta hu,
Pehale log aanson pochne aaye the toh badle mein khushiya legaye the,
Iss liye mein mai logo ke beech rone se darrta hu.....-