16 DEC 2019 AT 23:48

Kisi ki lachari pe kyu hasta hai
bebasi ka kyu banata mazak hai
Wakt hai ye aaj uske hain to kya
Kal tere bhi ho sakte ye halaat hai

Kyu ghamand karta hai takat ka
Mahabaliyo se bhara shamshaan hai
Kya fayeda esi takat ka jo sirf
Karti aaye dusro ko barbaad hai

Hasil to tujhe sab hoga nhi
Itni to sach baat hai
Utne me khush rehna seekh
Jitna tere pas hai.

-