Faheem   (Faheem Iqbal)
1.8k Followers · 126 Following

Urdu Poet
Joined 14 December 2016


Urdu Poet
Joined 14 December 2016
8 FEB 2019 AT 20:29

Hum ne ik nazm maiñ piro daali
Baat jo uñ se keh nahiiñ paaye
Hum maiñ bardasht hai buhat lekin
Hijr key roug seh nahiiñ paaye
Ishq tum se humeiñ hai had se siwa
Par labuñ se ye keh nahiiñ paaye

-


7 FEB 2019 AT 19:43

Ghazal غزل
Dard-o-gam maiñ ye mubtla kyuñ hai
Dil mera yuuñ tadap raha kyuñ hai
Jhoot ghalib to haqq daba kyuñ hai
Aisa kyuñ hai mere Khuda kyuñ hai
Jis ko dekho udaas baitha hai
Shehr itna bhi gam-zada kyuñ hai
Wo to kehta tha jaañ hooñ uski maiñ
Phir mujhe chhor ke gaya kyuñ hai
Aaj tak ye samajh na paaya maiñ
Dard hi dard ki dawa kyuñ hai
Maut se hai faraag naa mumkin
Tu haqeeqat se bhaagta kyuñ hai

-


6 FEB 2019 AT 20:07

Ghazal غزل

Khaali khaali dil ka aangan lagta hai
Tere bin weraañ har gulshan lagta hai
Kyuñ teri takleef se tadpa hooñ maiñ bhi
Apne beech maiñ koyi bandhan lagta hai
Ishq, muhabbat, pyar, marasim aur yari
Mujh ko yai sab diwaanapan lagta hai
Tere chehre ki tamseel nahiiñ milti
Tera chehra maah-e-afghan lagta hai
Tum ne jis ko aik masihaa samjha hai
Mujhko wo is des ka dushman lagta hai

-


6 FEB 2019 AT 18:58

صبر کا میرے اک امتحاں بن گئی
یہ محبت بھی بارِ گراں بن گئی

Sabr ka mere ik imtihaañ ban gayi
Ye muhabbat bhi bar-e-girañ ban gayi

-


6 FEB 2019 AT 15:41

کبھی جنت تھا اب ویران لگتا ہے
یہ میرا شہر کیوں سنسان لگتا ہے

Kabhi jannat tha ab weraan lagta hai
Ye mera shehr kyuñ sunsan lagta hai

-


5 FEB 2019 AT 19:36

Ghazal غزل

Wo mujhe apni jaan kehta hai
Phir bhi mere bagair rehta hai
Ab to aañsu baha aye mere dil
Itni takleef koun sehta hai
Laakh us ko karo nasihat tum
Bewafaa bewafaa hi rehta hai
Shehr mera tabha na ho jaye
Rouz yaañ ik makan dhehta hai
Maiñ usey kis tarah bhula paoñ
Wo to mere lahu maiñ behta hai

-


4 FEB 2019 AT 17:32

Maiñ musalman hooñ ya kafir hooñ
Khud ko pehchanne se qaasir hooñ
Kyuñ kisi ke amal ki fikr karooñ
Maiñ nahiñ nasiha,maiñ sha'ir hooñ
Teri raftaar rail gaadi si
Aur maiñ cycle pe ik musafir hooñ
Gair se kyuñ rahuñ maiñ wabasta
Tera hi aashiq aur chaakir hooñ

-


3 FEB 2019 AT 22:11

Us ki yaad aa rahi hai phir se mujhe
Kyuñ wo tadpa rahi hai phir se mujhe
Bewafaa thi wo bewafaa hi rahi
Chhor kar ja rahi hai phir se mujhe

-


1 FEB 2019 AT 23:09

Aks apna maante hain ham unhein
Door se pehchante hain ham unhein

-


1 FEB 2019 AT 13:50

Kab tak inkar Rab ka maiñ karta Faheem
Aakhirash aaj sajde maiñ gir hi gaya

-


Fetching Faheem Quotes