24 OCT 2017 AT 8:42

Kya tere qalam main wo taqat nahiin aayi?
Shayad teri zabaan main sadaqat nahiin aayi.

Apne lahu ke qatroon se tu likh teri tasaneef,
Kya ab bhi tere andar ye aadat nahiin aayi?

Ab to sukhanwari mein bhi dajjaliyat hai pinhaañ,
Kya ab bhi tu kehta hai qayamat nahiin aayi?

Maine apne khoon-e-jigar se wazu kiya hai,
Zahid ye na kehna ki tahaarat nahiin aayi.

Musalmaañ hokey kisi insaañ ka bura sochooñ
Meri zehan main kabhi ye galazat nahiin aayi.

- Faheem Iqbal