18 JUN 2017 AT 10:24



Samaj k liye beti paraya dhan hoti hai.
Kisi parae par apni kamai lootate maine sirf papa ko dekha hai!

Jis kandhe ki bojh mante h log betiyo ko,unn kandho par bachpan me ghumte hue maine papa ki aankho me pyar dekha hai!

Ma jab khana banati thi, tb god me sula kr pyar krte maine papa ko dekha hai!

Nadani smjho ya bachpana, par maine toh apne hone wale humsafar me bhi sirf mere papa jesa insan dekha hai!

- soulfulwordings_byDivya✅