Samajhte nhi ya samajh nhi ata?
Mere ansu me likha kissa,
Dikhta nahi ya nazar nahi ata?
Kya takalluf, kya sikwa, kya ranjis
Ab jb jana taye hi hai,
To wo chala kyu nhi jata?
Muskaan me chhipaye sawalo ka,
Teri khamoshi me chhipe jawabo ka,
Ab hisab mujhe karna hi nahi,
Itna sab ho hi gaya,
To mere dil se ye ishq nikal kyu nhi jata?
Hatheli me likha naam uska,
Dil me utar kyu nahi jata?
Ankho me basa hi hai agr,
To wo meri kismat kyu nhi ban jata?
Chhodo, hisab kitab karte hi nhi,
Ab aur kuchh likhte hi nahi,
Waqt ki daud me aage nikal hi jayega,
Jo jiska hai uska ho hi jayega,
Rahega sirf ek sawal aant me,
Ishq jab milta hi nahi,
To ho kyu jata hai?
-