Purani kitab se gulab nikal ai
Ek dhundhli tasveer fir saaf ubhar ai
Ek shakhs samne aa gya ho jaise
Haqeeqat ho gyi deewar pr parchhai
Mahv ho gya usme jabz kar liya usne
Gul-e-yaar ne asir kiya
Fir mu-e-yaar ki gulistan yaad ai
Zehen me daudne lga wo meri
Fir usko apni hi thakan raas ai
Incomplete....-
Hmari mohabbat ke tasveer banoge
Tum kahan! hmari taqdeer banoge
Saaf keh bhi de tumse ki ishq h hmko
Tum kahan! Hmari khwabo ke ta'beer banoge
Hr shay tumhari yaad hr shay khayal tum
Tum hmari yaadon ke zanjeer banoge-
Fir baith kar khudse tanha baate.n
Din beetate hi bechain raate.n
Khair ab to udbhar ao yaado.n se
Log pagal smjhte hain tumhe aate jaate...-
Ye jo mohabbat is shahar se Jagah se thi
Wo sirf ek shakhs ki wajah se thi...
Gali Kuche Wo log, Fir kidhr gye!
Jaise ki usne apni yaad mita si di
Baate sukun ki, Ab nhi rhe
Jaisi ki usne apni baate bhula si di
Wo zauk zindagi ki bhi mar gyi
Usne to meri sanse ghta si di
Aql Dil Sukun sb apas me lad gye
Jaise meri ankho ne uski tasveer hta si di-
Kisi darkht ko kagaj pr banaya jaye
Fir shaakh pr chidiyon ko bulaya jaye
Uske saye me baithe baithe
In patto ko giraya jaye
Koi falsafi milta hmko to poochte usase
Meri mohabbat ka ek shakhs kaise bhulaya jaye..-
Muqammal hi ho jati hai meri Nind
Tumhare ane se Khwabo me Mere
Yaqeenan pursukoon hoti Zindagi
Gr mere Qismat bhi hote Tum..-
Door talak mai khudko dekh pata hi nhi
Aur khud ke paas mai hoon bhi nhi
Dhundhta hoon mai khudko din raat
Aur mere paas koi naam hai bhi nhi
Kis chhaon me ye sahra kaatu
Ret se chhalo ko aram hai bhi nhi
Sabz baag hone ka bharam
Koi dar-o-baam hai bhi nhi
Saraab hai sb saraab
Is jahaa.n se mujhe koi kaam hai bhi nhi
Kaise kah doon ki aram bhi hai aur khush bhi hoon
Mujhe khudkhushi se khushi hai bhi nhi-
Zindagi jala kr jo baat chhupa rkha hai
Wo kitabo shakl me hamne saja rkha hai-
Ab aur zarf kya tairne se mile
Sahil hi mile ki baithna hai mujhe
Dur tak koi bashar dikhta hi nhi hai
Kisi sajar hi ka mile sahara mujhe
Dil bhar gya hai in tanhayion se
Koi awaaz de ki lautna hai mujhe..-