Har dard aur gam ki dawa hai dosti
Har kahi unkahi baaton ki gawa hai dosti
Wo to kami hai pooja krne waalon ki is duniya mai
Wrna is jamee par khuda hai dosti
Doobte huye ko tinke ka sahar hai dosti
Ghane andhere mai roshni ka chingara hai dosti
Wo to kami hai yaki krne waalon ki is duniya mai
Wrna is jamee par bharose ka dusra naam hai dosti
Dukhi dil ko jaadu ki jhappi hai dosti
Har aansu ko moti m badalde wo taqat hai dosti
Wo to kami hai kadra krne waalon ki is duniya mai
Wrna is jamee par nayab khazana hai dosti- Charu
17 JUN 2021 AT 11:21