Khudki ek puri umra ganva di jisne
Uske zakhmo mein, ghaavo mein marham bharte bharte! Yeh maloom hote huye ki jab jab woh uske pith par hath fer ke koi naam likhti,
Woh naam hota kisi sahir ka!
Kya asaan hai kisi amrita ka imroz hona!
Kya asaan hai kisi imroz ka is kadar amrita ko chahna!
-
Saari taklifein gum ho jaati hai
Isi mod pe aake,
Ishq-e-safar ne jo tay kiya tha,
Aaj hi ke din ke dhaage ....
-
Yun der tak humein na dekha kijiye.
Hum muhabbat ke izafat mein zindagani ke saari hadein bhool aaye hai.
Ab in nigahon ke ahad mein sirf beimaano ki daastaan jhalakti hai...
-
To let you go
I will bloom those petals of my soul
That faded in the numberless ways
Of loving you.
-
Tum woh kavita ho,
Jise maine kabhi socha
Par na jane kyun likhna hi bhul gayi.
Aur ab naa toh woh khayal yaad hai,
Na lafz,
Aur naa hi bhavnayein..........
Tum bas woh kavita ho.
-
Gar inhi kirdaaro se fir rubaru hona padhe, kabhi!
Main zindagi se mukar jaungi...
Main jinhe apni zindagi kehti hu,
Main uss zindagi se mukar jaungi....
-
Kisi kadkadati tapte shehar ke kisi din mein kisi ek chhote se ghar ke ek chhoti si rasoi mein maa jab paseene se tilmilati hui chaand si roti paka rahi hoti hai uss waqt achanak se baarish ke chaar boondon ka aa jana, ye unn thandi boondon ka, maa ke liye 'khayal' hi toh hai....
-
কাউকে আপন করে নিতে আমি কোনোরূপ আয়োজন করতে পারিনা। কোনো প্রলেপ সাজাতে পারিনা। অতকিছু আমি সত্যিই পারিনা। সব দেখাতে, সব বলতে পারিনা আমি। আর যে ক্ষমতার সর্বশিখরে আছে, যার জোরে আমার নিঃশ্বাস প্রশ্বাস বাধিত, সে তার সমস্ত আশ্রয় দিয়ে আমায় আগলে রেখেছে। আমার প্রতিটি ডাকে তার হুজুরি রয়েছে।
আমার কাকে চাই আর! কেনই বা চাই!
-
इधर डूबे जो हम तो 'दिलकश' नोंचने चले सूरज!
कोई कच्चा धागा नहीं जो टुकड़े करते चले दर तक.
ये रंग देखे हो करीब से जैसे शाम पे चढ़ा है तलब!
वाकिफ हो जाओ ये जला है अभी मरा नहीं है सूरज.
-
Itna ulajh jati hu main uss naam ke ek ek akshar mein ki matrayein hairan reh jati hai, itni dubki samandar mein boondein bhi na lagati hogi .
Phir,
Samjha leti hu khud ko.....
-