Barkha Mehta   (Kuch.ankhahi_baate2020)
1.5k Followers · 1.3k Following

@kuch.Ankahi_baate2020
Joined 5 May 2020


@kuch.Ankahi_baate2020
Joined 5 May 2020
18 JUN 2020 AT 8:19

Khud ko dhundne ki chah me, 💕
Me aapne me hi kahi,🥰 khoyi si rehti hu ,🙇
Kabhi tasveer bana ,✍️ usme rang bharti hu ,🌈
Toh,
Kabhi shayariyo me khud ko khojti hu,✍️
Subh ki chai se shuru ,☕ raat ke khane ke zaike me ,🍱
magan aapno ko jodti hu ,👨‍👩‍👧‍👧
Khudko jane ki chah me kabhi , 👼Nritya bhi kar liya karti hu ,💃
Sur thode kache se hai meri, 🎶
Par sangeet me bhi haath aazma liya karti hu ,🎤🎸
Har waqt Khud me hi mashroof rehti hu ,🌹
Par najane phir bhi khudse mulaqat har baar,💕
adhuri si laagti hai ,💔
Har pal kuch naya sikhne ki ,❤️
umang issa dil me banai rehti hai .🤩

@gunjanmehta_22

-


19 JAN 2022 AT 11:47

Aaj subh jab inhe kagaz ke panno pr,
kuch likhna chah mene ,

Toh

2021 ke kuch lamho me kho si gyi ,

Jo saath hai wo khaas hai ,
Jo rutho gye unhe aab manana ni ,
Jo sikh aur sabak de gye wo mere pass hai ,
Beete dard ko batana ni ,


Naya saal te nayi shurvat hai ,
Khoya kya kya uska hisab ni ,
Paya mene khud ka saath hai ,
Likhni aab zindagi ki naye sire se kitab hai .

@gunjanmehta_22

-


17 JAN 2022 AT 7:54

Aapke hone ka ehsaas bhi ,
mere liye khaas hai,
Dur ho kar bhi ye intezaar ke lamhe ,
mere dil ke pass hai ,

Kese bayan kare ,
Humre liye aap kya hai ,

Dekhne ke liye puri duniya
Chahne ke liye ,humre pass sirf aap hai

Ye sabr ke pal bhi hume,
Be-sabr kiye ja rhe hai,

Roz hi dil me nayi chahta bhare ja rhe hai ,
Log ke liye aap beshak kuch bhi ho,
Humre liye humri ,
Puri duniyaa ,
Puri Kaynat ,
Sab bante ja rhe hai .

@gunjanmehta_22

-


16 JAN 2022 AT 8:16



Mein toh musafir hi hu ,
Mujhe manzil ka daar ni ,
Badi mushkilo se sikhi hu ,
Apna sath dena ,
ab mujhe mushkilo ka daar ni.

@gunjanmehta_22

-


15 JAN 2022 AT 11:58



Dil karta hai pyar ka izhaar karna ,
Aur
Dimag ko career ki fikr hai
Dil aur dimag ki ladai me,
fasse hum sab hai ,
Pyar intezar kar sakta hai,
career ni,
ye baat samjh aaye,
toh aagye tum badao,
kon piche rhe gye,
unki tum fikr na karo,
jo tumhare hai har haal me,
tumhare hi rhe gye,
tum apni manzil tak ,
pahunchne mein laage rho .

@gunjanmehta_22

-


14 JAN 2022 AT 13:24

Tere intezaar me jeena manzoor hai hume , Par tere siva kisi aur ka hona gawara nahi.

@gunjanmehta_22

-


11 SEP 2021 AT 11:22

Galta ??

Kon sahi ,kon galt , Iska fark kon samjayega,
Jab sabhi apni jagah sahi hai ,
To duniya me galta kon kehlayega,
Har koi khud ko devta sa dekhve yaha,
To fir ,
Rakshash jese kaam kyu badte jaye vaha ,
Bedh bhav jaha bhagvan ne na kiya
Dhoop chhaao ,
yeh zamana asaman sabko Barbaar diya,
To kyu??
hum rang roop jat pata me khud ko batate hai .
Kyu insaan ko insaan samjh usse gale se na laagte hai ?
Kyu ye uchha neecha ka fark na mitate hai ?

@gunjanmehta_22

-


10 SEP 2021 AT 8:08

Ek ullu

Wo sardi ki raat thi, chhat par baith,
ek ullu ,
Behad hi udaas tha,
Udaas kyu?

Wo yaad kar rha tha wo din ,
Jab log ghumte the sadko par,
Raat me bhi ,
Par February 2020 me ,
Laag lockdown ked hue sab insaan
10 baje ke baad hue raste sunsan ,
Wo ullu kuch samjh na paya
Beete din yaad kar wo muskurva .

Soch rha tha wo khil khilati sadke,
Wo ghumte firte bike par ladke,
Wo logo ka raat ko bhaar aana ,
Saath baith din bhar ki baate baatna .

@gunjanmehta_22

-


7 SEP 2021 AT 23:30

इस नशे को ही अब अपनी ताकत बना जियूँगी,
अपने अकेलेपन को नई पहचान दूँगी
मुझे छोड़ कर उसने मुझे मुझसे मिलवाया है।
अपनी कामयाबी से अब दुनिया में छाऊँगी।

@gunjanmehta_22

-


5 SEP 2021 AT 19:23

Meri guru, meri maa

Duniya me bhi na aayi thi ,
Tab se Ramayam geeta ki bani
sunai ,
Maa tumne hai,

Akeli hi laad jau sabse wo aag banva maa tumne hai
Me aam si ,mujhe khaas banva maa tumne hai
Pechana bani maa tumne hai
Ye naam banva maa tumne hai
Mujhe mujhse mila maa tumne hai

Brahma Vishnu Maheshwara sare Guruo ka Saar maa tumse hai ,

Mera rab mera guru mera sab kuch ,
Maa tujhe hai ,teri ashirvad se hai
Ye sare mukaam ae zindagi ke,
Sab kuch maa tumse hai ,

Meri guru , meri maa .
Love you always 💕😘

-


Fetching Barkha Mehta Quotes