18 OCT 2018 AT 22:40

Pyar Ishq khasara ho bhi sakta hai
Kia jaye to dobara ho bhi sakta hai

Jise tum chhor do beech bhanwar
Wo Kisi ka sahara ho bhi sakta hai

Mera chehra agar takhleef deta hai
Ye kisi ka nazara ho bhi sakta hai

Tumhe naaz hai k tum haseen ho
Koi tumse bhi pyara ho bhi sakta

Dil ki gehraai se agar tum apnaao
Fir koi tumharaa ho bhi sakta hai

Sirf husn me ulajh kar reh jaye wo
kismat ka maara ho bhi sakta hai

- Atish_E_Kalam🖋️