Arsa ho gaya .Door ho gaya
Par main tere jaisa thoda aur ho gaya
Kabhi garmi ki pehli baarish mein tujhe jeete hain
To kabhi saundi mitti ki Khushboo mein
Kabhi Diwali ki chamakte hue diyon mein
To kabhi holi ke befikr rangon mein
Kabhi Eid ki biriyani mein
To kabhi Vaishakhi ke lassi mein
Kabhi kisike gusse mein
To kabhi kisike kisson mein
Kabhi filmo ki duniya mein
To kabhi haste hue reelon mein
Arsa ho gaya .Door ho gaya
Par main tere jaisa thoda aur ho gaya
Happy Independence Day.
-
By profession👩🏫-Program manager ... read more
Na jaane kitni nakaam raatien dafan hai
is kamayaab subah ki chamak mein-
Bahut ristey nibhaye honge
Ek rista khud se bhi nibhalo
Bahut khudgarz mile honge
Thodi khudgarzi tum bhi dikhalo
Bahut muskhilen hain is safar mein
Kabhi tum bhi yuin hi bewajah muskuralo-
Main aawaz hu un unkahi unsuni lafzon ki,
Jo kisike thappad ki goonj ke tale dabi hui thi.
Main aawaz hu un behisab bebas lamhon ki,
Jo kisike kadmon ki aahat se ghabraai hui thi.
Main aawaz hu un unginatt sisakti raaton ki,
Jo kisike maujoodgi ke ehsaas se dari hui thi.
Main aawaz hu us kolahall sannatte ki,
Jo kisike gaaliyon ke bauchaar se sehmi hui thi.
Main aawaz hu tere aane waale kal ki,
Jo Tere laachari se doondla gayi thi.
Main aawaz hu tere hausle aur himmat ki,
Tu ek kadam to utha, aur phir dekh !
Kaise teri raushni se jahan jagmagata hai.
Jo abtalak tere hi parchayee mein chupi hui thi.-
Aaj khaane ke swaad se jyada
Uski khushboo humne Maa ki yaad dilati hai.
-
He sensed a glimpse of desolation in her eyes, when she stretched her hand out to her partner to walk down the uneven path.
"Wrong shoes", she said smiling and convincingly.
"No. It's the wrong partner"-
If taking stand and speaking up
is being courageous,
Then sitting down and listening
is being brave.-
My love was enough to
build generations but it got slaughtered by
the religious norms of the civilization.-
She closed her eyes to
the reality of life.
Yet life chose her to
it's cruelty of fate.
-