Aqsa Hamdani   (Aqsa)
65 Followers · 8 Following

ابتدا انتھا کی!
Joined 14 May 2017


ابتدا انتھا کی!
Joined 14 May 2017
15 JUN 2022 AT 1:56

Kya batao tumhai ki kya guzri hai mujh par
Kantu ki rah seedhi tary hai mujh par
Merai zakhamun sai khoonki baaarish nahi horrahi
Khair har din tazah hojatai hai zakham
jo lagayai gayai hai mujh par
Meri hasee ki kilkirahat par na jaa ay saki
Is muskurahat ne hi to chupayai
hai wo daag jo lagayai gayai thai mujh par

-


1 JUN 2022 AT 1:16

Merai mehboob kai naam....

Rooz ek hi sawal poochnai ki zid hai
Oun kai khayalu ki dehlees pai guzarnai ki zid hai
Ounki doori ko mehsoos karni ki zid hai
Har simt oun ki sans banai ki zid hai
Yu oun sai mohabaat karni ki zid hai
Oun kai maathai ko choomnai ki zid hai
Sijda oun ki saamnai karu yu ishq karnai ki zid hai
Oun kai aaynai ka aks banjao yu ishq karnai ki zid hai!

-


15 APR 2022 AT 3:44

Oun ki bairukhi to yu barbaad kargayi
Rouh andar he andar sai rakh kargayi
Dillagi haadu ko paar karnai ka naam
hai suna tha, par ye dil ki lagi bangaii!!!

-


15 APR 2022 AT 3:34

Meri mohabbat ka istirab lazmi tha mujh par,
Merai dil ka maikahana , hastaa hai mujh par
Oun sai jo dil lagaya tha hamani ,Wasl ka
jaam haram tha ham par!!!

-


15 APR 2022 AT 3:25

Aaj ki raat ka andhaira kyu baijaan
na laga Kaisai lagta ; mera dil baichain
jo tha Itna dard hai is seenai mai merai
Aaj ahsaas hua ishq ka gumaa kitna tha
Ye doori ab meri humraz hai saki,
Iss ko malum hai meri intiha ka
Kabhi gor o fikr karta hu to mehsoos
hota hai , waqt kai saath ye dard
bhadnai laga!!!!

-


22 JAN 2022 AT 3:52

Kya ye maloom nahi hamai ki oun ko yaad nahi ham
Ki fasanai hamarai har dam horahai hai kam
Ab nahi hota bardaash ye paishaiman e gam
Mai to zinda hokai bhi tod raha hu dam
Aagah kar raha hai mera jism ab mujhai
pata nahi kab tod dai ga dam
Ae merai afsaanai sunai walai
kya ab bhi tum ko yaad nahi ham
Kya ab bhi tum ko yaad nahi ham!!!

-


22 JAN 2022 AT 3:36

Merai dil ki gehraiyu mai tu sehlaab sa hai
Merai ishq kai imtihaa pai tu naqab sa hai
Meri zindagi ka tu charaag sa hai
Meri mout ka tu kehar sa hai
Ye jaan laina tu gulab sa hai!!

-


12 JAN 2022 AT 5:18

Sadiyan beet gayi khud sai rubaru huai
Zamnai kuch lamhu mai hi fana hogayai
Waqt ka zoor qatil e jahan hai janab
Tumhari khaak ka jaam jo qabool hai ousai
Har insaan ko fitoor e duniya ka sabab hai
Kya osuai maloom nahi ke ye imtihaan hai

-


29 NOV 2021 AT 20:39

Kis ka intezar kanto ki chadar kai siwa kuch bhi nai!

-


25 NOV 2021 AT 18:30

Kuch dinu sai ajeeb hi kaifiyat hai janab
Oun ki awaaz sunnai ko dil chahta hai!

-


Fetching Aqsa Hamdani Quotes