23 DEC 2017 AT 14:02

Akhri pyar 💐

Tu aya yun jaise ful koi khil gaya
Is bhid bhari duniya me koi apna mil gaya
Fir se seekh liya humne muskurana
Pyar ki rut ka fir se hua ana jana
Pyar koi khel nahi jaha haar hai ya jeet hai
Ye to rishta hai dil ka jahan apnapan hi ek reet hai 😊
Fir se li udaan is zindagi ne ki sapna koi sach hua
Hum jude tumse is kadr ki fir se har armaan yun nikhar gaya
Tuti si thi zindagi ab apna koi mil gaya ..
Seekh lia tha humne khud ke saath jeena
Fir tum yun ae jaise jia humne kabhi na
Ab na gum ki wo raatein hongi na honge wo sannatein
Khushiyon ki bauchar hongi , hongi khushiyon ki barsaatein..
Ye akhri pyar jo tha seekha gaya hume jina
Yun thama mera haath aur chhoda isne kabhi na ...
Zindagi ke safar ko bana dia makhmal sa..
Ab hum tanha honge kabhi na !!! Tahna honge kabhi na 😊😊

- Goddess Apoorva Chauhan