31 JAN 2019 AT 15:25

Tum mujhse puchte ho ki mujhe tumhari kya baat acchi lagti hai? Mein tumse ye kaisay kahoon ki mujhe tumhari kaunsi baat acchi nahi lagti?

Apne ird gird tumhara ghoomna, mere wajood se na hatnay waali tumhari gehri bolti nazrein, tumhari har waqt ki tawajja, tumhari jaan chidaknay wala har andaaz. Har baar jab tum mere maa baap k liye ehteraam mein khade hotay hoo to mein tumhare saamne jhukne lagti hoon....

- Saba Perween