Tumne humse kabhi haal punchha nahi,
humne bhi kabhi bataya hi nahi.
Ye zindagi humaari puri barbaad hi gayi.
-
ग़रीब घर से आए हुए बच्चें
बख़ूबी जानते हैं
पेट भरने और भूख मिटाने
के बीच का अंतर
-
Dono hath thaam liye the usne
dil jo laaya tha peshgi me gir kar toot gaya bechaara.
-
Mujhe ajeeb ajeeb sapne aane lage hai. Awaazein aati hai, jaise pahad bula rhe hai. Main udta rehta hoon sapno me.
Subha uth toh jaata hoon magar bahut der tak zameen par pair nhi rakh paata.-
#khayal
Lagta hai meri diary ke akhri panno ko bhi mohobbat hogayi hai,
Mai likhta kuch aur hu unpar aur wo matlab kuch aur hi nikal dete hai.-
#khayal
Mai ghar baitha ek akele kamre me dunia saari jeetna chahta hu,
Chirag uthakar aasmaan se mai zameen par sitare banata hu,
Jab dunia saari bijli wale jugnuo se jagmagati hai,
Mai ghar baitha umeed ki lau par mitti ke diye jalata hu.-
#khayal
Hawa ke hatho ek shaam chiraag ka tha katl hua,
Dhundne chandni nikli fir ye kaise aur kab hua,
Rakhi nazar chandni ne, sadko, chajjo, chadar par,
Kaale hatho wala katil kahi na dikha usse magar,
Agle din jab subha hui,
Kaha kisi ne yuhi kahi,
Kamzor tha shayad diya bada,
Khudko hi usne jala diya,
Baat pakad kar hawa ne ye,
Fir hawa ki taraf failya dia.-