Kuchh logon ki asliyat humesha se malum thi, kuchh tha jo malum nahi tha wo thi apni khud ki ahemiyat. Aaj jab wo pataa chali toh un logon ki ahemiyat bhi samajh aayi.
Achha lagta hai khud ko yun dekhkar, Jab kisi ka naaraz hona bhi aapko utna hi khush rakhe, Jitna ki kisi ka saath hona; Jab kisi ka door hona bhi aapko utna hi khush rakhe, jitna ki kisi ka paas hona!
Kyun aisa nahi ho sakta ki bas akele hi jee liya jaaye zindagi ko, Na hi toh koi ho, Na hi koi moh, Na hi koi gham, Na hi koi khushi, Bas sab kuch shoonya!
Aaj kisi ne kahaa, "Aaj main bahut pareshaan tha, aur problem mein sirf tum yaad aati ho"... phir yaad aaya, ki main toh har kisi ko yaad hi SIRF problem me aati hun!