Akhilesh Prasad Mishra   (Akhilesh Mishra)
76 Followers · 33 Following

read more
Joined 9 July 2017


read more
Joined 9 July 2017
10 DEC 2019 AT 13:57

Hazaro k beech ab na jane kyu bas use hi chunta hu,
Khwaab ab akele nahi, uske sath hi bunta hu,
Dost kehte hai badbola hu mai bohat... Par,
Jab wo bolti hai to mai bas use hi sunta hu...

-


9 DEC 2019 AT 0:04

Kavitaein to sari puri ho jaegi, bas tumhara sath chahiye,
Jo aaj tak nahi hui kisi se, bas kuch waisi hi baat chahiye,
Zindagi ka aant to pata nahi
par tumhare sath ek khoobsurat aagaz chahiye,
Aur sare adure panne bhi bhar jaenge
bas tum se pyar bhare kuch alfaaz chahiye...

-


3 DEC 2019 AT 18:12

Tere khayalo mein kabhi aesa khota hu,
Ki logo k sath hote hue bhi, nahi hota hu,
Muskurata hu mai aur khul k hasta bhi hu,
Chehre par lata nahi bas kalam se rota hu...

-


30 NOV 2019 AT 3:18

Labo par tumhara naam jo aata hai,
To na jane kyu, par nikhar jata hu mai,
Tumse dur rehta hu to samet ta hu khud ko,
Jab bhi milta hu tumse, phir bikhar jata hu mai...

-


28 NOV 2019 AT 11:28

Kuch is qadar pyaar tha tumhari baaton se,
Mano neend ki dushmani ho gai thi raaton se,
Kya kaha, tumhe bhi mujhse pyaar tha...
Bas karo yaar, aur kitna khelogi mere jazbaton se...

-


21 NOV 2019 AT 13:50

Pehen tu hazar kamyabiyo ka taj
par ek din tujhe odhna kafan hai,
Sab ko milna jab mitti mein hai
to tujhe kis baat ka ghamand hai,
Kabhi guzre shamshan se agar tu
to dekhna zara gaur se,
Vahan tujhse bhi mahan log
bas do gaz zameen mein dafan hai...

- Shivani Gaur
- Akhilesh Mishra

-


17 NOV 2019 AT 22:38

Jin jin cheezon se hum guzarte hai,
Bas wohi kisse panno par utarte hai,
Jazbaat kabhi nikharte hai, kabhi bikharte hai,
Ye jazbaat hai janab jab apne par aa jaye,
Tab ye humari bhi kaha suna karte hai...

-


13 NOV 2019 AT 23:30

Agar tere mann mein ye vichaar hai,
Ki teri jeet meri haar hai,
Meri takleefon ka tujhe lagana bas bazaar hai,
To dilasa dene k liye kabhi ye na bolna
'Bhai teri kismat khoti hai',
Kyuki 'Bhai' nahi ho sakta yaar tu mera,
Teri soch bohat choti hai...

-


12 NOV 2019 AT 20:20

We all are equal but on the basis of caste
Society did the division,
And when the society had nothing to sell,
They started selling religion...

-


10 NOV 2019 AT 21:46

" Mai, ab mai nahi rahi,
Tum kuch aese meri zindagi mein chaye ho" ,
Aese jhut bolne wale kripya pehele bata de,
Aap kitne mahino k liye zindagi mein aaye ho?

-


Fetching Akhilesh Prasad Mishra Quotes