Izzat karni he hai tumhe,
To aise karo ki ehsaan na lage,
Jis izzat ko banane main saalo lag jate hai,
Usi ko barbad karne main
Kuch chand lamhe lagte hai,
Beshak Tum ise mera bachpana samjo,
Lekin mera fitoor hai,
Zindagi main kuch karo na karo,
Acha insan jarur banna,
Tumhe waqt nahi laga use tabah karne main,
Aur muje waqt nahi lagega
Tumhe juda karne main.-AS-
Chal mann liya ke,
Hum tumhe pasand nahi,
Lekin meri pasand tum bin aur koi nahi,
Chal mann liya ke,
Tumhare sapne humse bade hai,
Lekin mere sapne tum bin nahi,
Chal mann liya ke
Tere pas waqt nahi dene ke liye,
Lekin kuch chand lamhe mere liye ku nahi,
Ye bhi mann liya ke,
Tumhe humse ishq nahi,
Lekin meri Mohabbat bhi kuch kam nahi.-AS
-
Kisi se itna bhi dil na lagao,
Ke unke jaane ka gum ho,
Aur kisi se itni bhi nafrat na karo,
Ke unke pass ane ka dukh ho.-AS-
Dukhi hai tu usse jo teri dua karte hai,
Khush hai tu usse jo kuch pal ki khushi hai,
Upar vale ki daya ko acha samj kar,
Apne kareeb rehne valo ki kadar kar,
Kandha vo denge jo teri nasihat karte hai,
Vo nahi jo tere samne ache,
Aur peeth piche bure bante hai.-AS-
Wo dosti bhi kya dosti,
Jisme galiya na ho,
Wo Ashiqui bhi kya Ashiqui,
Jisme nafrat na ho,
Wo humdardi bhi kya humdardi,
Jisme Mohabbat na ho,
Aur vo dushmani bhi kya dushmani,
Jisme kabhi pyar na ho.-AS
-
Tum jeeyo hazaro saal,
Ye dua hai humari,
Tum khush raho zindagi bhar,
Ye dua hai humari,
Janamdin Mubarak ho tumhe,
Aur iss din ke sath,
Tum kuch nayi shurvat karo,
Ye dua hai humari.-AS
-
Vo bhi sukoon ki chandni thi,
Jab thand bhari raton ke bich,
Hum bistar main chup kar,
Pyar Mohabbat ki baatein kiya karte the,
Dur ho gaye hum itna,
Ke kareeb ana bhi mushkil ho gaya,
Verna vaadein to humne bhi bahut kiye the. -AS
-
Ek aur mauka dekar dekho unhe,
Apni galtiya meshoos karne ka,
Aur Apna pyar jatane ka,
Ho jata hai anjane main kuch aisa,
Ke hum chah kar bhi maaf nhi kar pate.
Ek aur mauka dekar dekho unhe,
Ho sakta hai aisa bhi,
Tumhe ehsaas ho tumhari galti ka.-AS
-
Aksar pyar bayan karne se darte hai hum,
Ke kahn dosti bhi na tut jaye,
Mere dost pyar kar he Liya hai,
To ek bar izhar kar he do,
Kya pata dosti ke sath sath,
Ek naya rishta bhi ban jaye.-AS
-
Uss mukam tak pahuchne ke liye,
Kahn se to nikalna jaruri hai,
Uss koshish se mukrana nhi tu,
Ek kadam to uthakar dekh,
Apni khawaisho ko pura karne ke liye,
Shurvat to karni jaruri hai.-AS-