Wo aakhiri raat thi meri us sehar me aur main thaka hara tha,
Nind aankhon me thi bahut par main sona nahi chah rha tha,
Jehan me chal rha tha bahut kuch par samjh kuch nahi aa rha tha,
Naa jaane kis baat ka dukh aur chinta bewajah mujhe khaaye jaa rha tha,
Bitaye huy pal sath thy bas shayad use hi thoda aur badana chah rha tha,
Nind aankhon me thi bahut par main sona nahi chah rha tha,
Galatiyaa hui hai zindagi me bahut afsos bas kiye jaa rha tha,
Aage na ho kuch bhi galat mannaty bas maange jaa rha tha,
Jisko hum yaad bhi nahi ab unko bhi yaad kiye jaa rha thaa,
Nind aankhon me thi bahut par main sona nahi chah rha tha
-
Izhaar kar dena bhar bas ishq nahi
Ek tadap ke sath khud ko barbaad hoty dekhna kisi aur ke liye bhi to ishq hai
Izhaar kar dena bhar bas ishq nahi
Pyaar ke do shabd unse bhi usi mohabbat ke sath sunne ka intezaar bhi to ishq hai
Izhaar kar dena bhar bas ishq nahi
-
Online ki duniya me log aksar sach bol jaaty hai
Us sach ko jhoot banane ke liye hasne wale emoji lagaty hai
Hasne wale emoji ko log aksar mazak samjh jaaty hai
Samjhe agr koi zazbaat ko,
to hasne wale emoji ke bhi aansoon aaty hai-
Mana khuda ne maze lene ya kuch sikhane ke liye life me mujhe us se milwaya tha
Par
Ek bar to khuda bhi soch me padh gya hoga mohabbat meri us se dekhkar
-
Kai baar aisa bhi hota hai,
Sapne tumhare hoty hai aur unhe koi aur jeeta hai
-
Phir takra gaye kahi, phir dard dil ka taza ho gya
Jee bhar kar dekh nahi paaya usko, phir ye malaal reh gaya
-
Dil ko mere har bar naye tarike se jalaya hai
Aaj to unhone apne yaar se mujhe milwaya hai
Suna hai shamil hota hai koi shaqs aapki barbaadi me
Mene has kar aaj us shaqs se hath milaya hai-
Koi har tarah, tere liye, har koshish kar tujhe apna nahi bana paya,
Aur koi sirf tere caste ka hokar ya jayda kamakar tujhe jeet gaya
Agar dhyaan se samjhe ya parkhe,
To
Apna banane aur jeetne ki ladai me haar teri hui na
-
Kya likhe mohabbat shadon me apne,
Jinke shabdon par khud unki mohabbat ne aitbaar nahi kiya
-
Dil dekha, Pyaar dekha
Baad me yahi baat unhe chubhne lagi,
Anjaam dekha?
-