Aditii Dayal Srivastava   (shayar..kehlo)
274 Followers · 8 Following

read more
Joined 6 May 2018


read more
Joined 6 May 2018
13 JUN 2019 AT 17:40


Sirf chehre hi nahi, awazein bhi insaan ki kaifiyat ka aaina hoti hain...


-


12 JUN 2019 AT 23:20

Reh gyi umeed to barbaad ho jaenge hum dono ....
Tu jaraha hai to sach me bhula kar ja...

-


11 JUN 2019 AT 18:57

ज़ख़्म खाने के दिन चले गए मगर
याद के ज़ख़्म आज भी सिसकते हैं
अब भी बरसती हैं आंखें कई बातों पर
दिल के दर्द आज भी दहकते है ।।

-


10 JUN 2019 AT 20:05

Bhot nashaad dil ko samjhaya bhot hai
Magar is fitoor-e-ishq ne rulaya bhot hai
Talluq khatam kai bar kiye maine us shaqs se
Magar har bar is dil ko wo yaad aya bhot hai

-


7 JUN 2019 AT 3:13

Jaha jeena muhaal tha waha ek wade par umar guzaar di maine

-


6 JUN 2019 AT 19:25


Kuch Takleefein aisi hoti hain jin pe maaf to kiya jaa sakta hai magar talluq nahi barqarar rakha jaa sakta...

-


3 JUN 2019 AT 13:29

Mohabbat to yeh hai k koi ehsaas dilaye bina aapke dard ko samait le, aapki kamzoriyon ko dhaanp le, uss mein na koi waadey hon na intezaar, uss mein kuch talab karne ki naubat na aaye, warna mehez raabte mein rehna, guftugu mein mohabbat k bade bade daaway karna zabaan ka chaska toh hosakta hai, mohabbat hargiz nahi....

-


2 JUN 2019 AT 15:56

Khwab toh woh hote hain jin se khushi aur umeedein wabasta hoti hai.. Khwab jagti ankhon se dekhi gyi un khushiyon ka naam hai jo haqeeqat mein nahi hoti.. Khwab toh umeed hote hai ache mustaqbil ki, achi zindagi ki, ache waqt ki. Khwab mohobbat se abarat hote hai...kisi insan k pas kuch bhi na ho zindagi me phir b uske pas khawaab hote hai jo use zinda rakhte hai..zindagi se haar jane k baad bhi

-


31 MAY 2019 AT 16:51

Khayal mein na rahe, thik hai. Par dhyan rakhna k kahin wo shaqs dil mein na reh jaye khalish banke ta-umr

-


29 MAY 2019 AT 14:05


Bohot zyada mohobbat ka yahi masla hai k us me bhot zyada nafrat hone ka khatra hota hai...to jis insan se ek umr mohobbat ka bharam rakha ho usse kabhi kisi mod par nafrat hojana lazmi hojata hai

-


Fetching Aditii Dayal Srivastava Quotes