Yun toh chaand bdha rha tha lehron ki unchaii ko,
Magar usi lehar mein woh ek chota sa dikhayi diya,
Yun toh moti chote chote behke aaye pass mein,
Par jaata hua woh ek aasun mota sa dikhayi diya.-
The way you see and the way i sway....
All i need is that one holding point of my life.
I can see it, i can feel it, but it is not visible.
Between everything i see and everything i think, there is a hint of uncertainty.
All i want is to see, neither behind nor beyond, just the things in between.
For all its worth, the subject is destiny.
People are allowed to be skeptical but once in a lifetime, they realise the best book they ever read, was the one they lived through.
-
Patharon k toot jaane ki awaaj hui
Sheeshon k toot jaane ka shor hua
Dono uthe aur lgane lage iljaam
Maine nahi phle isne mujhe chhuaa.-
What's this world gonna think about the wisdom you pursue?, is the only wisdom you should not have.
-
Mujhe pareshaan krte rahe ye baaton k saaye,
Main phir aaj raat jinhe lapet k so gya,
Main chota tha toh lag jaata tha maa k gale se jaakr,
Aaj bda hone k guroor mein apne bistare pe ro gya.-
Yunhi nhii jhukti kaynaat tere kadmo mein,
kbhi khud ko kbhi sir ko jhukana pdta hai, Yun muyassar ho jaaye har khusi ye mumkin nhii,
aansuon se inka santunal bnana pdta hai.-
Tum banao kisi tasveer mein koi rasta,
Main bnata hun kahin dur se aata hua main.
-Ammar Iqbal-
Yunhi nahi pareshaan hota main
Khud ki baaton ko lekar
Khud ke kyi faislon ne
Mujhe khud se dur kiya hai.-
Mujhe khamosh meri yaadein taaza krr jaati hain
Ye hawayein pichli jab bhi aati h , mere dard ko jyada krr jaati hain.-
जो कभी हुआ है नही,
मैं उस चीज़ का बोझ ढोता रहा,
जिसने कभी मुझे अपना कहा ही नहीं,
मैं उस शक्स के लिए रोता रहा।
परेशान रहा में सुबह शाम,
किसी के सपनों में आते रहने से,
जिन मोतियों की छंकार से नींद टूटती रही मेरी,
मैं उठ उठ कर उन्हें आसुओं से पिरोता रहा।
-