Ghar bade ho magar itne bhi nahi
Ki dhoonde par bhi koi dikhai na de
Aur roye koi kisi kone mein
Toh rona kisi ko sunai na de-
Yun toh kisi ka hone ko
Rehta dil sada bekarar hai
Par koi humara bhi intezaar kare
Ab hume iska intezar hai
-
Yun toh kisi ka hone ko
Rehta dil sada bekaar hai
Par koi humara bhi intezaar kare
Ab hume iska intezar hai
-
दो चम्मच चीनी रख लो
एक पानी की बोतल भी
आज यादों के बादल उमड़ आए
एक ग़ज़ल लिख रहा हूं-
Saral sher hoon, ek kali ke jaise
Isko seech kar kamal kar do
Ghul jao aise apni jhankaar le kar
Is sher ko sundar ghazal kar do-
Murjhai shak pe bhi phool khil jate hai
Unche parvat tak aksar hil jaate hai
Yeh jaat aur dharm ko dosh mat do
Dilon ko milna ho toh woh mil hi jaate hai-
Suna hai thand mein ghaav
zara der se bharte hai
bewajah ilzam lagaya unpe
Shayad thand gazab padi hogi us din
-
Aksar manzil nahi, zariye badalte hai
Jana sagar hi hai, magar dariye badalte hai
Khafa ho aaj toh kal phir ayenge
Aksar log nahi nazariye badalte hai-
Maana hum utne mazboot nahi
Hum dhaage thode kacche hai
Par agar sulajh ke alag ho jate hai
Toh hum uljhe hi acche hai-
Kitne geet, kitne sher bas yun hi reh gaye
Kitne bhaav, kitne lavz hawa mein beh gaye
Sunane ko dastaan khud ki, woh behad tarasta raha
Chahi ki dhoop thosi si, magar paani barasta raha-