Ek lamhan yuhin guzar sa gaya hai,
Mera dil kahi theher sa gaya hai,
Thoda sehma thoda bechara sa,
Ek parinda aawara sa.-
Haan aaj bhi mai sitaron se baaten kiya karta hun,
Na jane kyu apno se lagte hain.-
Oye aazad dil chal kaheen udaan bhar len,
In sare lamhon ko kaid kar, kaheen door ghar len,
Aur haan wapas ane ka koi irada to nahi,
Prr zindagi se aisa koi wada bhi to nahi,
Haan shayad fir kuch nayi peher ho,
Mere gaaon jaisa fir mera sheher ho.
Abb chal bhi de.-
है वक़्त ने जो थमा तुझे,
वो रास्ता भी दिखाएगा।
बस ना रुकना तू उस समय की तरह,
जब अंधेरा है तो सवेरा भी आएगा ।।-
Haan mai khush hun,
Khud se he khud ko barbad kar ke,
Tmhari salah ki mujhe zarurat nahi.
Aur haan mai khush hun,
Khud se he khud ko aazad kar ke,
Mere sapno ki kalam ko tmhare lafzon zarurat nahi.-
कतरा-कतरा बहा कर बापू तूने ही तो मुझे बनाया है,
हाँ चाहे आग बनूँ या पानी सा,
मुझमे तेरा ही तो साया है।-
Tere naal,
Mera haal,
Jado saalon saal mai fida,
Tere layi mai aaj v , tere layi kal v,
Tere layi duniya nu mai chad da.-
Ek teri raza,
Tu kyu khafa,
Hai sazaa se ye pal,
Ye zulfen teri,
Hai ankhon me nami,
Kuch tere naam si hai halchal,
Ye badal subh ke,
Shaam ki wo baaten,
Ye mulakaten aaj kal,
Jo tere lafzon ki aarzoo,
Hai jo tu rubaru,
Nindiya me meri aa chal,
Ek teri raza,
Tu kyu khafa,
Muskura de ab harpal.-
Hai gam bhi kya,
Jo tujhe mai pehchan lun,
Sari khushiyan bhi samet lun,
Jo tujhe thoda sa bhi mai jaan lun.-
Hain kastiyan, hamne bhi panno ki, kayee dubayi hai,
Riston ki baghdoor sambhalte sambhalte apni khushiyon se kar li ladayi hai.
Aur muskurate hue jo bikhar se gaye ek roz to ehsas hua,
Ki ladni khud se he, ye zindagi ki ladai hai.-