7 FEB 2022 AT 18:31

Har ghar me bhai behen k beech jhagda toh hota hai.
Jhagadne wale bolte hai ki usne ye kiya toh mai bhi ye karunga.
Ye sab toh normal hai na, kyun ki ye suljahaya jaa sakta hai.
Suljhane wale toh ghar k bade hote hai jo samajhdar hote hai.

Lekin aaj kal toh bhadkaya jaa raha hai.
Hairan ki baat ye hai ki yaha bhadkane wale toh bade hi hai.
Aise gharo me shaanti asambhav hai.

Jab aise harkaton se, ghar me shanti nh rehti hai, toh desh mein kaise rahegi...

- Aashu Assu