Divine lights of diwali
People in kurtas & sarees
Making us busy in doing lots of taiyyari
So that we can celebrate the occasion with khush-haali
Festival of collecting memories pyaari pyaari
Bursting crackers & phuljhadiya bahot saari
Posing and clicking pictures of everybody
Wishing you a very very happy & prosperous diwali...!-
Maa ko Garv ho ek din mujhpar
Maa tera aisa bachha ban jau
Maa ko naaz ho ek din mujhpar
Maa tera aisa bachha ban jau
Maa haath rakh de tu jis par
Maa usko tere haath me rkh du laa kar
Maa maang le Jo bhi mujhse kah kar
Maa usko tere saamne rkh du laa kr
Maa Teri shaan aur abhimaan ban jau
Bas Maa Teri aankho ka taara ban jau!-
Maa ki parchai se khud ko dhak lu
Unke aanchal mein chup kar sisak lu
Maa k sapne pure mai kar du
Maa k pairo mein jannat rakh du
Maa ke pyaar se mai bhar jau
Bas maa Teri aankho ka taara ban jau!
-
Maa ki aankho ka taara ban jau
Unki goadi mein mai khilkhilau
Unki hasi bhi mai ban jau
Unki khushi mein khush ho jau
Maa ki mamta mein mai kho jau
Bas maa teri aankho ka taara ban jau!-
Koi tumse puchey kon hu mai
Kah dena bahot hi khaas hai wo
Pyaasa tha jisko paane k liye
Samandar me bhara paani hai wo
Dastak de kar guzar jae Jo
Hawa ke jhonkhe jaisi hai wo
Ehsaaso, saanso aur baato me mile Jo
Rag rag me basne wali hai wo
Na samjh sakoge kya hai wo
Bas mere dil ki raani hai wo!
-
Koi tumse puchey kon hu mai
Kah dena mera sapna hai wo
Chahu din aur raat jisey
Aankho mein rehni wali hai wo
Maanga mandir manzid me jisko
Qubool hui ek dua hai wo
Zikar se uske chamak uthu mai
Mera keemti heera hai wo
Chura liya h mujhko mujhse hi
Mujhme rahne wali hai wo!-
Koi tumse puchey kon hu mai
Kah dena mera pyaar hai wo
Sath rahe Jo har pal mere
Dil ki jaise dhadkan hai wo
Saans chale na jiske bina
Jeene ka mera sahara hai wo
Suraj se chaand sitaro tak ka
Kachha pakka fasana hai wo
Khushiya mili hai hardam jissey
Zindagi ka meri khazana hai wo!-
Wearing a smile & carrying books all the time
Telling us not to worry & focus on how to shine
Being a philosopher they are always there to guide
Making us understand theories of struggling in life
They are never tired of trying in making us successful & kind
Stuffed with knowledge, talent, and pride,
They are the champions who inspire our minds...
Pushing us up when we were dragged down
Guiding us to strengthen the power that heal wounds
They taught us how to read, write, connect & count
They are TEACHERS who believe in decorating heads with crowns!
-
Rutha rutha hai man manau kaise
Tuta tuta hai dil lagau kaise
Phika phika hai din sajau kaise
Soona soona hu tere bin tujhe lau kaise
Tu wapas aaega nahi ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe paane ki pyaas ko bujhau kaise
Tu mud ke dekhega nahi ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe dekhne ki chah ko dabau kaise
Tujhe ab pyaar nahi hai ye pata hai mujhe
Phir bhi Teri yaado ko dil se mitau kaise
Tujhe ab nafrat hai ye pata hai mujhe
Phir bhi Tujh sang beete Palo ko bhulau kaise
Rutha rutha hai man manau kaise
Tuta tuta hai dil lagau kaise
Phika phika hai din sajau kaise
Soona soona hu tere bin tujhe lau kaise
Tu ho chuka hai kisi aur ka ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe apna banane ki tadap hatau kaise
Tu ho chuka hai kisi ka apna ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe paraya na karne ki lat chudau kaise
Tujhme na baaki hu mai ye pata hai mujhe
Phir bhi mujhme bhare tumko nikalu kaise
Tujhe zarurat na rahi meri ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhko churane ki koshish mein tujhe rijhau kaise
Rutha rutha hai man manau kaise
Tuta tuta hai dil lagau kaise
Phika phika hai din sajau kaise
Soona soona hu tere bin tujhe lau kaise!
-