Kuch baate hai jo tumhe batani hai par tum milo to sahi,
Kuch shikayate hai jo tumhe sunani hai par tum milo to sahi,
Kuch vaade hai jo tumhe nibhane hai par tum milo to sahi,
Kuch yaaden hai jo tumhe yaad dilani hai par tum milo to sahi,
Kuch galatfehmiya hai jo tumhe samjhani hai par tum milo to sahi,
Kuch betaabiyan hai jo tumhe mehsus karani hai par tum milo to sahi,
Par ab jo tum nahi mile ho to bas yahi kehna chahunga,
Jo reh gaya hai wo agle janam sunaunga,
Par tum milo to sahi......
-