Mein nanhi si jaan kuch batlana chahti hu...!!!
Apne dil ke armaan ko jatana chahti hu...!!!
Bhejti hu is chhithi dwara apna sandesh
Suno toh..hai kya..?..meri umeed hai kya..?
Bas thodi si toh sammaan pana chahti hu...!!!
Band kar rakha jis kamre ko tumne
Us kamre se aazad hona chahti hu...!!!
Duniya ke liye kuch wesa kaam karna chahti hu....!!!
Jo garibi ke wajah se logo ki
aakhein khushi ke liye taras rahe hai...!!!!
Un aakhon ki yaha pyaas bujhana chahti hu...!!!
Jo dil me hai armaan vo pura karna chahti hu...!!!
Is pyaari si duniya ko dekhna chahti hu...!!!
-