Dar ke uth jaate the kabhi Bura sapna dekh ke Aaj badtar halaato me bhi Muskurane lage hain Kitne guroor se liya karte The naam tumhara Ab nazre jhukae, sharmsaar Paraaya batane lage hain...
Gham is baat ka nahi ke dil tora zamaane ne Afsos toh hume ye hai ke manaane nah aya koi Humne toh likh di thi tute huye dil ki dastan Shikwa is baat ka reh geya Ke haq jataane nah aya koi
Likhna chahta hoon, alfaaz nahi milte Kehna bohot hai par humraz nahi milta Har koi sunna chahta hai meri dastan Jisko batani hai uske sheher parvaaz nahi milte...
Kaise manu ki nahi hai muhobbat Tum aakar zara aazmao toh sahi... Chalo mai hi parda hata deta hu Tum nazre aaj milaao toh sahi... Kehte ho ..bhagwan ho tum Puri duniya tumhari deewani hai Tum meri ibaadat pe utar ayoge, kanha! Mujhe pathar se banao toh sahi...
Shar-e-aam utar aye hain zamane me aaj Jaane baithe hain khareed-dar hain kitne Sab bik jata hai siwaye dilo ke, kanha Akhir tooti cheezo ke bazaar hain kitne...