Samyo Jagdev  
167 Followers · 125 Following

read more
Joined 3 June 2019


read more
Joined 3 June 2019
24 JAN 2022 AT 12:36

Samajhne ke liye;
Ek dusre ke samajh ko, samajhna padega;
Koi exam toh hai nahi;
Ke ek book se samajhne ko ,sab kuch milega;
Zindagi ek hi hai janaab;
Ek dusre ko samjhne ke liye,
Ek dusre ko waqt Dena padega;

-


12 JAN 2022 AT 8:46

Kisse toh bohot hai sunane ko;
Koshishen chal rahi hai,apne sapne ko paane ko;
Der se sahi, lekin hasil kareinge zaroor;
Sunaeinge apni kaamyabi ki dastaan;
Tab tak zara, aur logon ko toh aane do;

-


9 JAN 2022 AT 10:16

Koi nigahon mein,nigahon se asar kar gaya;
Wo saamne se nikli,mai pura maun reh gaya;
Khabar hume bhi thi,ke waqt lamhon mein tabdil ho jata hai;
Pyaar mein itna nasha hota hai;
Ke uss nashe me mai,
Dost ko raste pe bhul gaya;

-


8 JAN 2022 AT 23:25

Pankh hai nahi, phir bhi udna chahta hoon;
Kuchh der se magar, uchaiyon ko chhuna chahta hoon;
Safar lamba ho ,ya channd ghanton ka;
Lekin manzil tak pohonchna chahta hun;
Mushkilein hai, sulajh jayengi;
Mere himmat ke aage, sab bikhar jayengi;
Sabar ka imtihaan ,arson se deta aa raha hun;
Hawa aandhi ki ho, ya shaanti si;
Mai tayaar hoon;
Pankh hai nahi, phir bhi udna chahta hoon;

-


7 JAN 2022 AT 11:14

Khayalon mein sirf tumhe boona tha;
Hakikat mein toh, tumne hume chuna tha;
Aitbaar ka aalam kuch dagmagaya sa tha;
Kya karein,kai kisso ne ye hume sikhaya tha;
Koi hass kar baat kar bhi le,mai namaste aadaab karke chala jaya karta tha;
Dil phir toot jayega,shayad isiliye ghabraya tha;
Umra badh rahi thi,zindagi kat rahi thi;
Har parivaar ki tarah,mere ghar pe bhi shaadi ki baat chal rahi thi;
Taane sunne se accha,humne tumhare proposal ko haan karna thik samjha;
Waqt diya, din guzaare;
Tumhe samajhne ke baad pata laga;
Bhagwan ne sapne,padh liye the saare;

-


14 JUN 2021 AT 0:58

Humko chalna tha mehnat se, waqt ke isharon pe;
Hum dhund te reh gaye kismat ko,chaand sitaron mein;

-


19 FEB 2021 AT 2:06

Ye shaam na jaane kyun, itni jaldi dhal rahi thi;
Shor bhi Khaamoshi mai badal rahi thi;
Aaj din na jaane kiski raah tak rahi thi, jo itni jaldi ho gayi thi;
Inn sab ke beech, mera intezaar mera imtehaan le rahi thi;
Log dua kar rahe the, zor-zor se;
Ansuu baha rahe the, zor-zor se;
Par koi hul-chul mehsoos nahi ho rahi thi;
Mujhe kya pata kya Hua tha, ye sab toh meri rooh jaan rahi thi;

-


11 FEB 2021 AT 11:21

Humse kya bhul hui, ke vo itne rooth gaye ;
Nashe mein hum the, ya vo the;
Jo saare glass haath se chhut gaye;
Humne toh bas unki khoobsurti ki taarif kari thi ;
Hume kya pata tha ;
Ke jo chehre se tapak raha tha, wo makeup tha ;
Hum toh bas use, ulte whisky ka fountain samajh rahe the;
Nashe mai hum the, ya vo the;

-


28 JAN 2021 AT 12:37

Ishq ko kabhi Haan mat karna,
Jitna ho sake duur hi rehna;
Wafa karna kisi ek se gunah nahi;
Lekin agar kar Liya, toh bewafai mat karna;
Aur agar lage ki iss safar ke musaafir tum nahi ban sakte;
Uske saath duur, chal nahi sakte;
Toh kyun iss gum ko manana;
Ishq ko kabhi haan mat karna;
Jitna ho sake duur hi rehna ;

-


27 JAN 2021 AT 0:15

Kai saalon ki mehnat, kuch minto mai khatam ho jaati hai;
Imtihaan zindagi ki ho ya, kisi makaam ki;
Shikast hai ya fateh, wo aakhri pal hi Bata paate hain;

-


Fetching Samyo Jagdev Quotes