Sakhawat Hussain   (Sakhawat Hussain)
26 Followers · 1 Following

All the deals are not fair play fair anyway
Joined 14 July 2019

25 MAY 2022 AT 21:20

Humse mohabbat karne wale rote hi rah jaaynge
Hum jo kisi din soye to phir sote hi rah jaaynge

-

16 MAY 2022 AT 19:56

Is qadar maine sulagte hue ghar dekhe hain
Ab to chubhne lage ankho'n mein ujale mujhko

-

15 MAY 2022 AT 23:33

Rone walo'n se kaho unka bhi rona ro lein
Jinko majboori-e-halaat ne rone na diya

-

14 MAY 2022 AT 17:56

Bas ik jhijhak hai yahi haal-e-dil sunaane mein
Ki tera zikr bhi aayga is fasaane mein

-

14 MAY 2022 AT 11:41

Tum hamare kisi tarah na hue
Warna duniya mein kya nahi hota

-

13 MAY 2022 AT 16:58

Ashique ki bhi hasti hai duniya mein ajab hasti
Zinda hai to rusva hai mar jaay to afsaana

-

13 MAY 2022 AT 11:36

Girte hain samundar mein bade shauq se dariya
Lekin kisi dariya mein samundar nahin girta

-

8 SEP 2021 AT 23:17

Haya ke parde ankho'n se hatana bhi to padta hai
Agar hai pyar dil mein to jatana bhi to padta hai

Isharo'n hi isharo'n mein yu'n kabtak baat rakkhoge
Jo tera hal hai usko batana bhi to padta hai

Fakat bas likhke rakhne se ye ekdin kho hi jaaynge
Hain jo bhi khat likhe unko bhijana bhi to padta hai

Naya gar naam likhna hai to ye bhi soch lo tum phir
Purane naam jitne hain mitana bhi to padta hai

Kisi ki yaad lekar ke kisi ke paas mat jana
Kisi ko pana hai to kuchh bhulana bhi to padta hai

Subah aur shaam seene se dhuaa'n nikle ghalat hai ye
Lagi jo aag seene mein bujhana bhi to padta hai

Na do tum dawatein shaklo ko khud yu'n aaiyina bankar
Koi patthar mila jis din bikhar jaana bhi padta hai

-

8 SEP 2021 AT 22:57

Kisi ki yaad lekar ke kisi ke paas mat jana
Kisi ko pana hai to kuchh bhulana bhi to padta hai

-

8 SEP 2021 AT 22:55

Fetching Sakhawat Hussain Quotes