Desh mera anokha hai,
Uska har Pradesh ek alag Kona hai,
Jiski meeti mei Jawano ki kurbani hai,
Vahi aazadi un swatantra senaniyo ki kahani hai,
Iss aazadi ki saas ko jiya hai,
Iss khuli hawa mei Desh ka Pani Piya hai,
Desh mera anokha hai,
Uska har Pradesh ek alag Kona hai,
Har darwaje par sukoon hai,
Jaha Mushkil hai vaha karm kanoon hai,
Hum behtar hai, behtareen ki ore hai,
Har shetra mei mehnat Karne ki koshish, hum vikas ki ore hai,
Desh mera anokha hai,
Uska har Pradesh ek alag Kona hai,
Hum sab ek sath, ekta hai,
Hum sab ke hath, anekta hai,
Kamyabi ki koshish kar rahe hai fir ek baar,
Kyuki sath jeetenge hum har baar,
Desh mera anokha hai,
Uska har Pradesh ek alag Kona hai
-