Payel Ghosh   (tanu)
21.8k Followers · 3 Following

read more
Joined 2 August 2018


read more
Joined 2 August 2018
2 AUG 2021 AT 20:01

Ulfat k deewane tumhe har kahi milenge
Sambhalna usi ko jo tumhe sambhalta h

Har panno mei dhasna aadat h humari
Tamam shaks andekha karte,
qadar bus khuda karta h

Kisi ne kisi k liye humei chhod diya
Hijar ne zariya nhi jeene ka maksad bana diya

Har galib tera hath chum k sar jhukata hoga
Humne kuch pahlu rakh diye,
aur logon ne dil mei basa liya

Teri chokhat se alvida kehne wale vo log bhi mere khas h
Fitrat waqt ne badli aur humare apno ne
pehchaane se inkaar kar diya.

-


26 JUN 2021 AT 21:04

Pehlu the kho gaye
Zamana hua bhula diya

Rishte the toot gaye
Zeher hua mita diya

Har libas vo mere
Mashkare the unke mehfil k

Khud se khud rubaru hue
Duniya se nata mita liya.

-


17 APR 2021 AT 21:03

Tere hijar ka mahina jo kisi aur ne kaata hoga
Teri jholi mei aayi khushiyan un hathon se bata hoga

Rakha kandhon pe sar jo kisi aur ne
Vo koi aur h jiska duniya do hisso mei bata hoga

Kisi k muskurahat mei tujhe apni duniya mili hogi
Uss badnaseeb ko bhi khuli dhup mei tanha raat dikhi hogi

Tune hath jo thami umro ka waada nibha k
Uske mannat ka vo dhaaga bhi kisi darge pe toota hoga

Tere aabad hone ki kahani bhi kisi ne
Kisi k dastoor mei kalank se likha hoga.

-


10 MAR 2021 AT 20:59

Deewarein toot ti nhi kuch eentein gir jaane se
Vo teri kuch baat thi jinhone zakhm gehre diye h
Waise toh hum andekha kar dete h har chahne wale ko
Teri aadat thi toote kisso ko jodne ki,
Ye mehel bhi tune jhuth pe banaya h.

-


12 FEB 2021 AT 21:04

Yaha cheekhon toh sab pass chale aate h
Magar uthne k liye hath koi nhi thamta

Jeena zindagi aur maut k beech h
Ankhe roti h aur honth muskurana nhi chhodta

Yaha sab goom h apni duniya mei
Bas khudko behlane k liye kuch waqt humpe zaya kar lete h

Aur aakhri baat,
Jo baat zuban pe ho
Unhe hothon se bayan nhi krte h.

-


19 JAN 2021 AT 21:31

Tujhe bhulane ki kosish mei
zakhm taaze ho jaate h
rooh saans lena nhi chhodti
bas dhadkane ruk jaati h,

Har anjan galiyaron mei
banjaaron si phirti hoon
tere diye nishan mitane ki kosish mei
teri padchayi dikhai deti h.

-


14 DEC 2020 AT 21:00

Ye zehen mei nasha hi h
Jo nashe ko kat ta h

Teri ek hasi aaj bhi
Puri duniya tabah krne k liye kafi h

Rukhsat hue toh kab k jahannam k liye
Ye bhul bhulaiyaa h
Jaha ghum k wapas chale aate h

Hath chhod toh kab k diye
Ye ek dil k dor hi h
Jo toote bhi toot te nhi

Yaha har ek gali mei tumhe aashiq milenge
Sabne chhodna chaha tumko
Magar koi chhod paya nhi.

-


20 NOV 2020 AT 22:03

Manzilein rahon pe thi
Bas teri becheni ne
Tujhe mukam hasil krne nhi diya

Ladne gaya tha vo dushmanon se
Par apne sipahi ko usne
Unke gale milte dekha

Rishte hisso mei but jata h
Aur hisse kishto mei
Yaha har koi karzdar h har kisi ka

Tum rasta na badalna us janaze ka
Jisne be-inteha mohabbat krne k bad
Tumhe chhod diya ho.

-


29 OCT 2020 AT 21:02

Laaj bechdi humne
Munafe mei ayyashi ki,
Bazaar mei vo aaya jism lutane ko
Aur logo ne bazaaru mujhe kaha.

-


13 OCT 2020 AT 21:01

I'm breaking down inside
Running through mist and crowd
Lust to find a spoon fill of peace
With full of tears in my eyes
I'm breaking down inside,
Will you give me a piece of myself
It’s turning me into devil day by day
I'm feeling lonely again
Without myself and without a hand in vain
I'm breaking down inside,
Please someone search me out
Pull me up and show some light
Yea it's getting empty more than it takes
I'm breaking down inside.

-


Fetching Payel Ghosh Quotes