Nahi kehta, ki main had se guzar jaaunga Magar ab jo had mein raha, to mar jaaunga Ek arsa beet gaya, ulfaton ke shehar mein Ab ulfaton ko chhod, bhala kidhar jaaunga
khilaf hai agar zamana, rehne do Kya hoga, kisi musibat mein pad jaaunga Aur kya fiqr karun iss huzoom ki Sukoon ki khatir, saari duniya se lad jaaunga
Waqt kisi ka Ghulam nahi Aaj kisi ke haq mein hai kal kisi aur ke haq mein hoga Tum bana do har sakhs ko Chahe zameer se andha Kal yahi andhapan tumhari nasl mein hoga