Main kya tha aur kya ho gaya hu,
Main meri hee galliyo mein kho gaya hu,
Chamakta nahi main, haara hua jugnu ho gaya hu,
Hasste hai mu pe pehle salaam karne wale,
Dekh zindagi main kya tha aur kya ho gaya hu.
Hassta tha main bhi par ab toh ro gaya hu,
Tha sab kuch aur sab kuch ab kho gaya hu,
Zimmedaariya toh karze ki tarah badhe jaa rahi hai,
Dekh zindagi main kya tha aur kya ho gaya hu.
Malaal tera karke pachta toh gaya hu,
Teri tabaahi ki qaabiliyat main jaan toh gaya hu,
Barbaadiyo ko aalam se thoda toh taras kar mujhpe,
Duniya jaanti thi usse dafna toh diya hu,
Dekh zindagi main kya tha aur kya ho gaya hu.
-