BINAY   (BINAY)
381 Followers · 771 Following

read more
Joined 16 April 2018


read more
Joined 16 April 2018
5 HOURS AGO

Chahne se har cheez apni nahi hoti,
Har muskurahat khushi nahi hoti,
Armaan to bahut hotee hain zindagi mein,
Magar kabhi waqt kharab hota hai to,
Kabhi kismat accchi nahi hoti.

-


YESTERDAY AT 13:32

Baat mukhtasar hai wo hamdard hi mera humsafar hai,
Hoti hai jinse roz ladai wahi mera rehguzar hai,
Baatte hai wi har gum mera; par kabhi kabhi wo bekhabar hai,
Udasi chehre ki padh lete hai wo; shaam-a-tanha ko karte beasar hai.

-


30 APR AT 20:30

Bekarariyaan aaj bhi hai; dushwariyan aaj bhi hai,
Naaz tha humein jis chahat pe; usmein bewafaiyan aaj bhi hai,
Bhul na sakee abtak jo gum humein milee thee kabhi; raaton mein bechainiyan aaj bhi hai,
Jis shaam juda huye thee hum; uss shaam mein tanhaiyan aaj bhi hai.

-


29 APR AT 23:50

Kuch aehsason ke saaye dil ko chuu jaate hai,
Kuch manjar dil mein utar jaate hai,
Bejaan gulshan mein bhi phul khil jaate hai,
Jab zindagi mein aap jaise dost mil jaate hai.

-


29 APR AT 3:13

Jo bhul gaye hai unhe yaad kya karna,
Ab gairon se fariyaad kya karna,
Jinhe qadar hai meri woh samghenge mughe,
Dusro ke liye khudko barbaad kya karna.

-


29 APR AT 3:07

Door jakar bhi hum door ja na sakenge,
Kitna royenge hum ye bataa na sakenge,
Gumm is baat ki nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ki hogi ki hum aapko bhula na sakenge.

-


28 APR AT 10:15


बदला है मैंने रूप अपना; मगर दिल आज भी वही है,
बदले ज़माने ने रंग कई; मगर मेरा रंग तो आज भी वही है,
शायद किसी को यकीन ना हो मेरे शफ़्फ़ाक इबादत का,
मैंने तो बस तरीका बदला है; मगर खुदा तो आज भी वही है,
हम जब भी मिलते है किसी से; हात बढाकर मिलते है,
माना के तल्ख़ है जुबान; मगर दिल में नेकी आज भी वही है।

-


27 APR AT 19:28

Chup chup ab rehta hun; fir bolna sikha de,
Mein pehle jaisa hasta nahi ab; fir muskuraana sikha de,
Paas karde wo har insaan jisse mein aaj dur ho gya hun,
Sikha de wo har cheez jo mein bhul gya hun,
Dard bhara hai seene mein; aakar mere saare dard mitaa de,
Ghut ghut ke jee raha hun ab mein; mughe ek khula aasmaan de de,
Sukh gaye hai ab aansu mere; mughe tu ab khushiyon se rulaa de,
Thukra diya hai mughe is duniya ne; tu bas mughe apna le.



-


27 APR AT 18:08

Raah dekhenge teri; chaahe zamaane lag jaaye,
Ya tu aa jaaye; ya phir hum hi thikaane lag jaaye.

-


26 APR AT 22:45

Hum jaise aam chehre ko kaun puchta hai,
Yaha aawargi ki keemat hai saadgi ki nahi,
Mein puree seher ki hamdardi ka kya karta,
Mughe kisi ki zaroorat hai; har kisi ki nahi.

-


Fetching BINAY Quotes