Dil ke jebome jab khudgarji ki kami hoti hai,
Tab waha apnoki kamai hoti hai
Dil ke jebome jab kadwahat ki kami hoti hai,
Tab waha yadonki mithas hoti hai
Dil ke jebome jab Jalan kam ho jati hai,
Tab waha safalta ke jashn ki moujudagi hoti hai
Dil ke jebome jab lalasa ki kami hoti hai,
Tabhi waha santushti mahsus hoti hai
Sidhi si bat hai ye, bhare glass ko aur kaise bhare,
Pehle khali to karo khushiya intazar me hai
-