Adhikansh Jain   (Adhikansh Jain)
2 Followers · 2 Following

New to writing so please show some love, follow for more! Insta adhikansh_jain
Joined 18 February 2022


New to writing so please show some love, follow for more! Insta adhikansh_jain
Joined 18 February 2022
26 APR AT 1:43

Pyaar mein itna zyada mein khoya,
Har ek khuda
har ek taqdeer se ladta chala gaya
Lekin kabhi mod ke yeh na dekha
Jiss se pyaar karte hein, usne hi saath chod diya
Unke adhure waadon mein sachiye ki raah dhundta chala gaya
Unki har ek galti mein iss dunia ko badnaam karta raha
Jab aakhir mein inh bekaam nazro se yeh pardha hata
Tute huye rote huye Mila too sirf ek sahara
Jis se lad pade the itni aasani se, khada tha woh hi khuda

-


20 APR AT 7:12

Pyaar bhi baraf ki tarah hota hein utna hi sundar aur utna hi jaldi gayab ho jata hein

-


19 APR AT 7:25

Baat karne ka man kare, lekin hein sirf khamoshi ke pal ye dil, dil naha raha ban gaya hein dal dal

-


16 APR AT 23:29

Atoms connect to make the most beautiful things in the world, from a delicate snowflake to the glow of a flower, to the mount of the everest to the depth of the ocean. Different atoms connecting and merging to make these incarnations of beauty, however they all pale in comparison to you. Never has there been a combination so perfect, your eyes, your smile, your soul. Each atom so perfectly chosen and placed as god was himself moulding it, a beauty to mirror his own. However, there is one connection that is more beautiful, one that is going to be the most beautiful connection that will ever exist, a connection that will go beyond the realms of the universe, one that will exist beyond the stars of the galaxy. One connection of atoms that have not existed yet the universe yearns to see it together, ours.

-


30 MAR AT 12:21

Chaand ke rup kaafi hein
Lekin hota wahi hein
Ashiq bolo ya bazdil dil tuta hamare bhi hein
Jis se dil lagaya tha woh toh bewafa nikla
Chaand ki jagah sirf andhera mila

-


29 MAR AT 6:17

Samundar ki lehre ret ko nigalti hui
Aasman ka chaya gumrah karti hui
Khud ke sapno se hum bewafa hein
Khud ke rishto mein hum lapata hein
Khud ki zindagi mein darshak bane hein
Bichadte un logo ko,
Bikharte un rishto ko
sirf dekh sakte hein
Jitni mushkil se yeh bante hein,
Utni aasani se yeh tut jaate hein
Beet te waqt ke saath akelepan ki raah chod jaate hein
Khoye hue hein iss zindagi mein
Umeed hein ki hame koi dhundle
Kaash hame bhi koi chunle
Lekin shayad yahi zindagi ki hein daasta
Akele hi iss zindagi ko hein kaatna
Banaye the humne bhi kaafi rishte
Afsos ab sirf reh gaye unke kisse
Mayoosi ke daladal mein dub rahe ese
Samundar jese ret ko nigalta wese

-


24 MAR AT 6:07

Yaadein basi hein, zehen se nikal nahi rahi
Shayari ki in panoh mein jazbaat bikharti hui
Yeh Milna bichadna, woh baate or khamoshi
ek ek pal jese dil mein mere basa hua,
aage badne ki koshish jaarahi hein, lekin kabliyat ho nahi rahi
Intezaar kare uska ya chod dein,
Eh khuda batade mujhe kya hein sahi,
kyunki yeh zindagi aage bad nahi rahi
Waqt jese thama hua, pathar ka diwar dil pe banta hua,
har jagah dekho toh dil tute hue, aakhir tod kon raha hein log puchte hue
Choti se zindagi yeh hein char dino ki,
dil humne unko kia lekin woh hameri ho na saki,
man toh hein aage badein,
par kya karein,
Yaade basi hein, zehen se nikal hi nahi rahi

-


22 MAR AT 20:00

Zindagi mein kaye mod ayenge, yeh sapne jo sajaye the woh bhikar jayenge
Bhikarne do un sapno ko bhikarne se darna mat,
Bachpana hein yeh apna, bachkani hi hogi harkat
Bachpana apna chodo nahi, todo nahi, bhulo mat iski yeh kahaniya
kyunki ayega hamara bhi waqt, jab harengi zindagi ki yeh nainsafiyan
Seekhenge hum isse, aage badenge humare bhi kisse
Mein jaanta hu ki kehna aasan hein, karna hein mushkil
Lekin fir bhi karke dikhayenge
Har ki nahi, jeet ki hi kahania batayenge
Zindagi mein kaye mod ayenge, naye sapno ko fir sawaar jayenge

-


17 MAR AT 7:57

Ijaazat hein?
Iss lahme mein iss khushi ko thamne ki
Iss berang zindagi ko khusiyal karne ki
Iss khoi hui hassi ko fir se dhundne ki
Iss bazdil rooh ko himmat deni ki
Iss tute hue hridaye ko malam lagane ki
Iss fitoor ko tum se judane ki
Iss zindagi ko tumhare saat bitane ki
Ishq toh hum bepana karte he tum se
Jese baarish ke baad phoolon se khusbhu aati wese
Lekin yeh aashiqui dil me hi reh gayi
Ijaazat hein yeh alfaaz jatane ki
Tumhare lehenge se sherwani milane ki

-


9 MAR AT 4:40

Log kehte hein chand sa roshan chehra
Par hum yeh keh na paye
Kyunki chand ki khubsarati dikhti hi nahi
Tumhari iss hassi mein hi dubte jayen
Log kehthe hein chand sa roshan chehra
Par hum yeh keh na paye
Banaya itna jab khubsursat, yeh zulfe,
yeh nazrein, yeh jism, yeh fitoor, toh hum kya,
khuda bhi tumhe dekh ke sharma jaye

-


Fetching Adhikansh Jain Quotes